Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein  Naat Lyrics

Jahaan baani ataa kardein bhari jannat hibah kar dein
Nabi mukhtaar-e-kul hein jis ko jo chaahe ataa kar dein

Jahaan mein unki chalti hai woh dum mai kya se kya kar dein
Zameen ko aasmaan kar dein suraiyyaa ko saraa kar dein

Fiza mein urne waale yoon na itraa`e nida kar dein
Woh jab chaahe jis-se chaahe us-se farmaa rawaa kar dein

Meri mushkil ko yoon aasaan mere mushkil kushaa kar dein
Har ik mauje balaa ko mere maula naa khuda kar dein

Ataa ho bekhudi mujh ko khudi meri hawa kar dein
Mujhe yoon apni ulfat mein mere maula fanaa kar dein

Jahaan mein aam paighaam-e-shahe ahmad raza kar dein
Palat kar peechhe dekhen phir se tajdeed-e-wafaa kar dein

Nabi se jo ho beygaana usse dil se juda kar dein
Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fidaa kar dein

Munawwar meri aankhon ko mere shamsud duhaa kar dein
Ghamon ki dhoop mein wo saaya-e-zulfe dotaa kar dein

Kisi ko woh hansaate hein kisi ko woh rulaate hein
Woh yoon hi aazmaate hein woh ab to faislah kar dein

Gile taybah mai mal jaaoon gulon mai mil ke khil jaaoon
Hayaate jaawidaani se mujhe yoon aashnaa kar dein

Unhein manzoor hai jab tak yeh daure aazmaaish hai
Nah chaahein to abhi woh khatm daur-e-ibtilaa kar dein

Sa`ge aawaara-e-sehraa se uktaa si ga`ee duniya
Bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar dein

Mujhe kya fiqr ho akhtar mere yaawar hai woh yaawaar
Balaaon ko jo meri khud giraftaare balaa kar dein


Related Content

  1. Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
  2. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  3. Tere Qadmo Me Aana, Mera Kaam Tha (Naat Lyrics)
  4. MADINE WAALE MERI LAAJPAL
  5. Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti  Naat Lyrics
  6. Karam Karte Ho Rehte Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum
  7. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  8. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  9. Azal Ki Khushboo Ho Jismein
  10. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  11. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
  12. Rehmat Baras Rehi Hai
  13. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  14. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  15. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  16. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  17. Al Nabi Sallu Alai
  18. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  19. Meri Jholi Main Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke  Naat Lyrics
  20. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics

Leave a comment