Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics

Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de

Namazen padhne jaaunga ya Allah taufeeq de

Main bhi to musalman hun chhota sa hun lekin
Hukm tera ya rab mere liye bhi hai

Man sama ramdhana imaanan wa ikhtesaba
Man qama ramdhana imaanan wa ikhteshaba
Ghufira lahu ma taqaddama min zambihi
Ya Allah taufiq de

Roze agar momin rakhe sawab ki niyat se
Taraweeh agar momin padhe sawab ki niyat se

Mitte gunah uske pichhle sare
Mitte gunah uske pichhle sare
Ye parwana ya rab mere liye bhi hai

Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de
Namazen padhne jaaunga ya Allah taufeeq de
Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de
Namazen padhne jaaunga ya Allah taufeeq de

Zikr-o-tilawat se khudaya qurb tera paaun
Zod-o-sikhawat se khudaya lutf tera paaun

Nekiyon ka mausam hai ye kyun na hissa dalun

Jannat ka sauda ya rab mere liye bhi hai

Man sama ramdhana imaanan wa ikhtesaba
Man qama ramdhana imaanan wa ikhteshaba
Ghufira lahu ma taqaddama min zambihi
Ya Allah taufiq de

Maghfirat mango ruhani rab se tum din raat
Karta jahannum se wo bari bandon ko la tadad

Mere bhi gunah bahut hain de mujh ko najat

Mafi ka ailan ya rab mere liye bhi hai

Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de
Namazen padhne jaaunga ya Allah taufeeq de
Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de
Namazen padhne jaaunga ya Allah taufeeq de
Main bhi roze rakhunga ya Allah taufeeq de

Related Content

  1. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  2. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  3. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  4. Aadha Idhar Aadha Udhar
  5. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  6. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  7. Tere Qadmo Me Aana Mera Kaam Tha
  8. Aao ahle shariat pardhaye tumhe
  9. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  10. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  11. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  12. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  13. Nahi He Koi Duniya Main Hamara  Naat Lyrics
  14. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  15. Likh Raha Hoon Naat E-Sarwar  Naat Lyrics
  16. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  17. Meh Toh Panj Than Ka Ghulaam Hun (Naat Lyrics)
  18. Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
  19. Rok Leti Hai Aapki Nisbat  Naat Lyrics
  20. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics

Leave a comment