Aaj milaad-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.
Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya.
Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai.
Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam.
Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai.
Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se.
Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai.
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka.
Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka.
Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka.
Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka.
Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye.
Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar.
Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka noor hi kahye khuda ka noor hai.
Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai,
Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.
Aaj Milad e Nabi Hai
Related Content
- Main Madine Chala Naat Lyrics
- Ekh Talab He Ekh Hi Khoo La Ilaha Illahu (Naat Lyrics)
- Pir Mere Baghdaadi Ghaus Ul Anaam Naat Lyrics
- Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
- Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
- Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai Naat Lyrics
- Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
- Meetha Meetha He Mere Muhammad Ka Naam Naat Lyrics
- Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai Naat Lyrics
- Sarkar Bulae Kadmo Mai Naat Lyrics
- Meri Tauba Meri Tauba Naat Lyrics
- Subhe Baharaan Naat Lyrics
- Un Ki Nazar Mein
- Aa Gaye Sarkar Naat Lyrics
- Main Nazar Karun Jaan O Jiigar Naat Lyrics
- Arsh Ka Dulha Aaya Hai
- Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
- Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
- Huzoor Aisa Koi Intezam Naat Lyrics
- Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya