Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
Har Dukhi Dil Ka Tu Sahara Hai
Rehmatallil Aalameen Laqab Tera
Saara Aalam Tera Utaara Hai
Deen E Millat Ho Or Zeenat E Khalq
Raunak E Falq Ho Or Arsh E Nasheen
Makhlookein Saari Dono Aalam Ki
Or Allah Ka Tu Pyara Hai
Ism To Khoon They Gumaan Me Magar
Ek Yahi Ism Hi Pasand Aaya
Mere Allah Ko Is Ism Ke Sang
Ik Niktaa Bhi Nagawara Hai
Tum Jo Chaho Bulao Dar Pe Jisey
Paye Deedar Koi Khwabon Me
Teri Ulfat Ke Hain Mareez Sabhi
Har Koi Dil Se Tum Pe Haara Hai
Aarzoo Waqt E Naj’aa Hai ‘ Mehboob ‘
Tera Deedar E Husn Hasil Ho
Kalmaa Padhtey Huwey Ye Dam Nikley
Or Kaho Tum Ke Tu Hamara Hai
Kya Bayaan Azmatein Hon Teri Shaha
Related Content
- Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge Naat Lyrics
- Kaba Lyrics
- Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Naat Lyrics
- Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
- Main Nazar Karun Jaan O Jiigar Naat Lyrics
- Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
- Jannat Mein Leke Jayegi Chahat Rasul Ki Naat Lyrics
- Aawaz panch waqt lagati hai momino
- Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
- Na Chedo Zirk E Jannat Naat Lyrics
- Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
- Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
- Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai Naat Lyrics
- Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Naat Lyrics
- Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
- Dil Madina Mera Bana Aaqa Naat Lyrics
- ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
- Phir Ke Gali Gali Tabah Naat Lyrics
- Taiba Bula Lijiye Na
- Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Naat Lyrics