Khuda ka ziker karay, zikr e mustafa na karay,
hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay!
Darr-e-rasool pe aisa kabhi nahi dekha,
koi sawaal karay aur woh ata’a na karay!
Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir,
khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay!
Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho,
kaza’a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza’a na karay!
Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main,
tamaam umar rihayi ki woh dua’a na karay!
Kaha khuda ne shifa’at ki baat mehshar main,
pehal habib karay koi doosra na karay!
Shaoor-e-naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb,
woh aadmi nahi jo innka haqq ada’a na karay!
Khuda ka zikar karay, zikr-e-mustafa na karay
Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
Related Content
- Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein Naat Lyrics
- Mai Toh Miladi Hu Naat Lyrics
- Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti Naat Lyrics
- Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ Naat Lyrics
- Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
- Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main Naat Lyrics
- Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Naat Lyrics
- Takdir Muje Lai Sarkar Ke Roze Par Naat Lyrics
- Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna Naat Lyrics
- Rifaete Subhe Saadat Zindabad Naat Lyrics
- Qurban Tumpe Meri Jaan
- Chamak Tujh Say Paatay Hain
- Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
- Shukr E Khuda Ki Aaj Ghari Us Safar Ki Hai Naat Lyrics
- Tu Shamm-e- Risalat Hai
- Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana Naat Lyrics
- Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam Naat Lyrics
- Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
- AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
- Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa Naat Lyrics