Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun  Naat Lyrics

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei

Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei


Related Content

  1. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  2. Meray Aqa Meray Lajpaal Madinay Waley (Naat Lyrics)
  3. Maah E Rabi Ul Awwal Aaya  Naat Lyrics
  4. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  5. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  6. Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
  7. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
  8. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  9. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  10. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  11. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  12. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  13. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  14. Maare Angariyen Aao Sarkar Madinah Varaa Saanvariah  Naat Lyrics
  15. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  16. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  17. Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda  Naat Lyrics
  18. Noor Se Apne Sarwar E Aalam  Naat Lyrics
  19. Chamka Mahe Noor Ka Hilal   Naat Lyrics
  20. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics

Leave a comment