Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho

Bheek ‘ata ae Nabi Muhatasham ho

Mere aaqa nigah e karam ho

Deed ka hun talab gaar aaqa

hun agar che gunah gaar aaqa

ik jhalak apni sarkar aaqa

ab dikha do na ik baar aaqa

is gunah gaar par bhi karam ho

mere aaqa nigahe karam ho

Hai yaqeen ‘arz meri suno ge

laaj Lajpaal meri rakho ge

rahmatein khaas apni karo ge

aaj daman mera bhi bharo ge

ya Nabi taajdaar e haram ho

mere aaqa nigah e karam ho

Hai tamanna meri mere dilbar

dekh lun kash har saal aa kar

teri masjid ke mehraab o minbar

aur roze ka pur kaif manzar

phir bayan haal ka chashm e nam ho

mere aaqa nigah e karam ho

Choot jaye gunahon ki aadat

rab ki dil se karoon mein ibadat

aisi kar de tu nazr e inayat

bas tere gham main maah e risalat

dil tarapta rahe aankh nam ho

Yaad aata hai mujh ko woh manzar

jab chala tha madine se dilbar

muztarib qalb tha aankh thi tar

us ghari ‘arz ye thi zabaan par

baar baar aaoon aisa karam ho

mere aaqa nigah e karam ho

Arz karta ‘obaid e raza hai

tere dur ka jo adna gada hai

mushkilon mein shaha ye ghira hai

tujh se imdad yeh chahta hai

door is ka hur ik runj o ghum ho

mere aaqa nigah e karam ho


Related Content

  1. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  2. Mujh Pe Maula Ka Karam Hai  Naat Lyrics
  3. Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale  Naat Lyrics
  4. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  5. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  6. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  7. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  8. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  9. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  10. Aey Mere Mola Mola Mola
  11. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  12. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  13. Aik Talab Hai Aik Hi Khoo (Naat Lyrics)
  14. Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
  15. Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa  Naat Lyrics
  16. Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics
  17. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  18. Mainto Panjatan Ka Gulam Hu  Naat Lyrics
  19. Madine ka safar hai aur main namdeda namdeda
  20. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai

Leave a comment