Jashn Aamade Rasool

Jashn Aamade Rasool

Jashan-e-Amad-e-Rasool

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
Hoor-o-gilmaan ki poori hoii arzoo
Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh
Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya
Amena dekh kar muskuraney lageen
Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen
Amena bibi sub se kehney lageen
Duaa hogaii kabool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa
Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
Barishain rehmatoon ki barasney lageen
Ay Haleema teri looriyoon keyliye
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Allahi Allah Bolo Allahi Allah
Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah
Bibi Amena ke Phool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey
Har taraf shoor Sall-e-Allah hogaya
Aaj paida Habib-e-Khuda hogaya
Phir tu Jibreel ne bhi ye Ayhlaan kiyaa
Ye Khudaa ke hain Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah
Allahi Allah bolo Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah

Chehra Quraan ki tafseer hai
Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung
Rehmatoon se sajii ek tasveer hai
Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa
Aysey piyaare hain rasool Allahi Allah
Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
Bibi Amena ke phool Allahi Allah

************************Jashne Aamade Rasool*****************************

Jashne Aamade Rasool Allah Hi Allah
Bibi Aminah Ke Phool Allah Hi Allah
Allahi Bolo Bolo Allah Hi Allah
Bibi Aminah Ke Phool Allah Hi Allah

Jab Ke Sarkaar Tashrif Laaney Lagey
Hooro Ghilmaa(N) Bhi Khushiyaa(N) Mana Ne Lagey
Har Taraf Unki Roshni Cha Gayi
Mustafa Kya Miley Zindagi Mil Gayi
Aey Halima, Teri Gaud Mei(N) Aa Gaya
Dono(N) Aa’Lam Ke Rasool, Allah Hi Allah
Jashne Aamade

Chehraaey Mustafa Jab Dikhaaya Gaya
Jhuk Gaye Taarey Aur Chaand Sharma Gaya
Aminah Dekh Kar Muskuraane Lagi(N)
Aur Hawwa Mariam Bhi Khushiyaa(N) Mana Ne Lagi(N)
Aminah Bibi Sab Se Yeh Keh Ne Lagi(N)
Dua Ho Gayi Qubool, Allah Hi Allah
Jashne Aamade

Shaadiyaane Khushi Ke Bajaaey Gaye
Shaad Ke Naghme Sunaaey Gaye
Har Taraf Shor Salley Ala Ho Gaya
Aaj Paida Habibe Khuda Ho Gaya
Phir To Jibril Ne Bhi Yeh Ailaan Kiya
Yeh Khuda Ke Rasool, Allah Hi Allah
Yeh Rasoolo(N) Ke Rasool, Allah Hi Allah
Jashne Aamade


Related Content

  1. Ae Rasool e Ameen khatamal morsalin,
  2. Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril E Amin Se Poocho  Naat Lyrics
  3. Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
  4. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  5. Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
  6. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  7. Mera Dil Or Meri Jaan Naat Lyrics
  8. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  9. Abr E Karam Gesoo E Muhammad
  10. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  11. Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota (Naat Lyrics)
  12. A’lam-E-Islam Ko Ye Eid-E-Milaad-Un-Nabi
  13. Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti (Naat Lyrics)
  14. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  15. Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha E Tanhaii Ho  Naat Lyrics
  16. Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
  17. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  18. Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu
  19. Sare Jahan Se Achha Hai Sange Dar Tumhara  Naat Lyrics
  20. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)

Leave a comment