Dekhte Kya Ho Ahle Safa

Aap Aaye To Duniya Munawwar Hui

Bazme Kaunain Mein Eid Ghar Ghar Hui

Do-Jahan Ko Hidayat Muyassar Hui

Aam Tauhide Khallate Akbar Hui

Hadi-E-Do Jahan Ho Salam Aap Par

Sarware Inso Jaan Ho Salam Aap Par

Dekhte Kya Ho Ahle Safa

Aa Pahunche Mehbube Khuda

Yani Ho Chuke Jalwa-Numa

Shahe Haq Shahe Bat’ha

Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah

Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah

Aamannabe Rasulillah

Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah

Malike Jannat Aa Pahunche

Qasime Ne’mat Aa Pahunche

Wali-E Ummat Aa Pahunche

Rabb Ki Rehmat Aa Pahunche

Dekhte Kya Ho Ahle Safa

Aa Pahunche Mehbube Khuda

Yani Ho Chuke Jalwa-Numa

Shahe Haq Shahe Bat’ha

Lailaha Illalallah……

Aye Shahe Zulkaram  Ho Salam Aap Par

Hadi-E-Mohtaram Ho Salam Aap Par

Khalk Ke Rehbar Aa Pahunche

Haq Ke Payambar Aa Pahunche

Shafae Mehshar Aa Pahunche

Saki-E-Kausar Aa Pahunche

Dekhte Kya Ho Ahle Safa

Aa Pahunche Mehbube Khuda

Yani Ho Chuke Jalwa-Numa

Shahe Haq Shahe Bat’ha

Lailaha Illalallah……

Apne Aajiz Gulamon Ka Suniye Salam

Be-Nawan Tishnamakamon Ka Suniye Salam

Khush Bayan Khush Kalamon Ka Suniye Salam

Muqtadiyon Imamon Ka Suniye Salam

Khatimul Ambiya Ho Salam Aap Par

Ya Rasule Khuda Ho Salam Aap Par

Saqi-E-Kausar Behre Khuda

Aaj To Aesa Jaam Pila

Uth Jaaye Parda Judai Ka

Jalwa-E-Zayba Ham Ko Dikha

Dekhte Kya Ho Ahle Safa

Aa Pahunche Mehbube Khuda

Yani Ho Chuke Jalwa-Numa

Shahe Haq Shahe Bat’ha

Lailaha Illalallah……

Jism Se Jab Ho Jaan Juda

Hamko Mile Firdos Mein Jaa

Lutein Ham Gurbat Ka Maza

Aapki Aye Mehbube Khuda

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……

Malike Behro Bar Ho Salam Aap Par

Fakhre Jinno Bashar Ho Salam Aap Par

Sham Se Ta Saher Ho Salam Aap Par

Har Gadi Har Pahar Ho Salam Aap Par

Ta-Abad Umar-Bhar Ho Salam Aap Par

Ho Salam Aap Par Ho Salam Aap Par

Jannat Ki Jab Sair Karein Ham Bhi Sam Hamrah Chalein

Hauze Kausar Par Aayein Hath Se Aapke Jaam Piyein

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……

Jo Is Bazm Mein Shamil Ho

Us Par Rehmat Nazil Ho

Jis Ghar Mein Ye Mehfil Ho

Izzato Barqat Dakhil Ho

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……

Bakhsh Mere Maa Baap Ko Bhi

Aur Mere Ahbab Ko Bhi

Ahle Karam As’hab Ko Bhi

Ahle Wafa Arbab Ko Bhi

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……

Daware Kul Aye Rabbe Ula

Sadqa Zaate Muhammad Ka

Jari Rahe Ta Roze Jaza

Mazhab Ahle Sunnat Ka

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……

Khalike Kul Aye Rabbe Ula

Sadqa Aale Muhammad Ka

Jari Rahe Ta Roze Jaza

Maslak Aala Hazrat Ka

Dekhte Kya Ho Ahle Safa……


Related Content

  1. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  2. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  3. Rab Ne Diya Hai Unko  Naat Lyrics
  4. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  5. Sunte Ho Bekaso Fariyad Ki Gause Aazam  Naat Lyrics
  6. TERI JALIYON KE NEECHE
  7. Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aane Ka Muqam Do  Naat Lyrics
  8. Aap aye duniya vich door hoye gham
  9. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  10. Bakht e Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jane Na Diya
  11. Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka  Naat Lyrics
  12. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  13. Huzoor Aisa Koi Intezam  Naat Lyrics
  14. Tala Al Badru Alyna
  15. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  16. Bigri Bana-O Makki Madani, Bigri Bana-O Makki Madani
  17. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  18. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  19. BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS
  20. Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics

Leave a comment