Aey Saba Mustafa Se Keh Dena

Aey Sabaa Mustafa se Keh Dena

Gum ke mare salaam kehte hain

Yaad karte he aap ko shaam or sahar

Besahaare salaam kehte hain

Allah Allah, Huzoor ki Baatein

Marhabaa rang or Noor ki Baatein

Chaand jinki balaaye letaa hai

Or Sitaare salaam kehte hain

Zaaire Kaaba tu madine main

Mere Aaqa se itna kehdena

Pyaare Aaqa Rasool Sunlijiye

Gum ke maare salaam kehte hain

Zikr tha aakhri maheene ka

Tazkira chir gayaa Madine ka

Haajio Mustafa se Kehdena

Gum ke maare salaam kehte hain

Aey payaami meri Qasam he tujhe

Arz karna Rasool-e Akram se

Qalb-e Mutrib ki he Huzoor tarap

Or saare salaam kehte hain

Subz Gumbad ka aankh me manzar

Or tasawwur me Aap ka mimbar

Saamne jaaliyan hain Rauze ki

Aajzi se salaam kehte hain

Allah Allah, Huzoor ke Gaisu

Bhini Bhini mehekthi wo khusbu

Jinse ma’mur fiza harsu

Wo nazaare salaam kehte hain

Aey Khuda ke Habib Pyaare Rasool

Ye hamaara salaam keejye Qabool

Aaj mehfil me jitney haazir hain

Milke saare salaam kehte hain


Related Content

  1. Noor Wala Aya Hai
  2. Sarkar Bulae Kadmo Mai  Naat Lyrics
  3. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  4. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  5. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  6. Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai  Naat Lyrics
  7. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  8. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  9. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  10. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  11. Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
  12. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  13. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  14. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  15. Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein  Naat Lyrics
  16. Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad  Naat Lyrics
  17. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  18. Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
  19. Ya Nabi Ya Nabi
  20. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI

Leave a comment