Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Yeh kon sar se kafan lapetey chala hai ulfat ke raatey par
Farishtey hairat se tak rahe hain yeh kon zi ehteram aaya
Faza mein labbaik ki sadain za farsh ta aarsh goonjhti hain
Har ek qurban ho raha hai zaban pe yeh kis ka naam aaya
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hai lekin na subah aaya na sham aaya
Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aai
Woh jazba jis mein tarap thi sachi woh jazba aakhir ko kaam aaya
Khuda tera hafiz-o-nigehban o rahe batha ke jaane wale
Nabi de saad in bisat ban kar payam darood-o-salaam aaya
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya
Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
Related Content
- Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
- JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
- Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
- MADINE WAALE MERI LAAJPAL
- Aey Mere Mola Mola Mola
- Muhammad Nabina Naat Lyrics
- Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha Naat Lyrics
- Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
- Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
- Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
- Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda Naat Lyrics
- Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se Naat Lyrics
- Jab Masjid Nabvi Kay Minaar Nazar Aey (Naat Lyrics)
- Jashn Aamade Rasool
- Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali
- La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
- Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
- Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
- Baravein Ka Chand Aya, Baravein Ka Chand Aya (Naat Lyrics)
- Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)