Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics

Sahar ka waqt hai masum kaliya muskurati hain

Hawae kher makdam ke tarane gungunati hain

Abhi jibril utare bhi na the kabe ke mimbar se

Ke itne me sada aai ye abdullah ke dhar se

Jashn manao aae hain sab nabiyo ke sultaan

Huro malaik jinno basar sab karte hain ailan

Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)

Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)

Gulsan mai phool mahke dali dali bhi lahake

Unki aamad ka sunkar bulbul bhi chaman mai chahke

Unka jasn mana kar karlo bakhshish ka saman

Jasn manao aae hai sab……………………………………………….

He noor paikar aae rahmat ke badal chhae

Dukhiya ke liye wo sayae rahmat bankar aae

Unke aane se aai har chahre par muskan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Nara amad ka lagao zando se dharko sajao

Imaan ka hai ye takaza sab geet nabi ke gao

Ye wo geet hai jisase khud khush hota hai rahmaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Hai bara rabiul awwal dareasl mai id hamari

Jasne milad ki dhoome ta-hasr rahegi jari

aisa jasn taybah mai ye dil mai hai armaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Kherat rukhe roshan ki sab chand sitaro mai hai

Aaka ka jasn manana kurban ke paro me hai

Parhkar dekhlo aala hazarat ka kanzul imaan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….

Hai hamape ‘muin’ musalasal aaka ki karam nawazi

Nato ke phool bikhero rab ho haega razi

Unki sanakhwani karna to hak ki hai pehachan

Jasn manao aae hai sab………………………………………………….


Related Content

  1. Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics
  2. Kiya Khabar Kiya Sazaaa Much Ko Miltii
  3. YA TAIBA YA TAIBA
  4. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  5. Huzoor Jante Hain   Naat Lyrics
  6. Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
  7. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  8. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  9. Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein  Naat Lyrics
  10. Do jag de wich hoye ujaale,
  11. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  12. Jidhar Dekhu Madine Ka Haram Ho  Naat Lyrics
  13. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  14. Jahan Roza E Pak E Khairul Wara Hai  Naat Lyrics
  15. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  16. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  17. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  18. Dar e Nabi Par Ye Umar Bite Ho Mujhpe Lutf e Dawaam Aisa Naat Lyrics
  19. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  20. ShaheMadina Naat Lyrics

Leave a comment