Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do

Taybah ki hai yaad aayee ab ashk bahaanay do
Mahboob nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do

Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa
Aey baad – e – sabaa merii aa – hoon ko to jaanay do

Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa
Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do

Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa
Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do

Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano
Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do

Mahboob kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim
Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do

Lagta nahin dil mayra ab in weeraanon mayn
Chota sa ghar mujh ko teba mayn bananay do

Roko na mujhay ab to dar e yaar kay darbaano!
Mahboob ki jaali ko seenay say laganay do


Related Content

  1. Roze Ki Deewar Se Rishta Jor Liya  Naat Lyrics
  2. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  3. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  4. Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics
  5. Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi
  6. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  7. Aap aye duniya vich door hoye gham
  8. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  9. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  10. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  11. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  12. Tala Al Badru Alayna  Naat Lyrics
  13. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  14. Aale nabi khune khaatune jannat Gulzar e Millat….
  15. Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
  16. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge
  17. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon  Naat Lyrics
  18. Madine Ke Waali Do Alam Ke Data Naat Lyrics
  19. Sayyed Ne Karbala Main Waade Nibha Diye Hain
  20. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih

Leave a comment