Tum per mein laakh jaan se qurbaan Ya Rasool
Barr aaein mairay dil kay bhee armaan Ya Rasool
Kiyoon dil peh mein fidaa na karoon jaan Ya Rasool
Rehtay hein iss mein aap kay armaan Ya Rasool
Jiss dum keh dum badan say nikalnay lagay mera
Uss dam nah hon hawaas pareshaan Ya Rasool
Main ghir gaya hoon fauj-e-ma’asee mein al-madad
koi naheen nijaat ka samaan Ya Rasool
Duniya say aur kuch naheen matloob hay mujhay
lay jaaoon apnay saath mein Imaan Ya Rasool
Kafi hay yeh waseela shafaat kay wastay
Aasee to hoon magar hoon pashemaan Ya Rasool
Tum Par Main Jan
Related Content
- Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
- Man Kunto Maulaa Naat Lyrics
- Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
- Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai Naat Lyrics
- Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Naat Lyrics
- Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
- Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
- Aaqa Meriyan akhiyan madine wich reh gayan lyrics
- Aane Walon Yeh To Batao Lyrics
- Huzoor Aa Gaye Hai Naat Lyrics
- Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam Naat Lyrics
- Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
- Rabbana Ya Rabbana Naat Lyrics
- Karam Karam Mola
- Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
- Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
- Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Subha Taibah Me Hui Bat’ta Hain Baada Noor Ka Naat Lyrics
- Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
- Sirf Ek Baar Naat Lyrics