Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do   Naat Lyrics

Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Sham Do

Talwo Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahromah Ko
Hai Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do

Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jaam Do

Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Shaam Do

Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do

Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
Haamid O Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulaam Do

Kalaam By Hamid Raza Khan Rehmatullah Alaih


Related Content

  1. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  2. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  3. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  4. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  5. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  6. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  7. Hamne Quraan Mai Parha Hai  Naat Lyrics
  8. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  9. Ya Nabi Nazre Karam Farmana Lyrics
  10. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
  11. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  12. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  13. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  14. Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se  Naat Lyrics
  15. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  16. Tera Rishta Bana Shiraaz Se Jameeyate Khaatir (Naat Lyrics)
  17. Tere Ishq Di Dolat
  18. Woh Rasool, Mera Rasool Hai
  19. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  20. Tala Al Badru Alayna  Naat Lyrics

Leave a comment