Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)

Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah

Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Yeh Dil Qurban Ap Per Yeh Jaan bhi Qurban Hai

Jo Hai Qurban Ap Par Woh Sahib-e-Iman Hai

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Sab se Aola O Ala Hamara Nabi

Sab se Bala O Wala Hamara Nabi

Apne Mola Ka Pyaara Hamara Nabi

Dono Alam ka Dulha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Bhuj Gayin Jiss ke Aage Sabhi Mashalein

Shama Woh Le Ker Aaya Hamara Nabi

Jinke Talwon ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat

Hai Woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Husn Khata hai jiss ke Namak Ki Kasam

Woh Maleehe Dilara Hamara Nabi

Zikr Sab kii Ke Jab Tak Na Mazkoor Hon

Namkeen-e-husn Wala Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ki Do Boond Hain Kosar-o-Sansreet

Hai woh Rahmat ka Darya Hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda Aik Hai Waise Hi

En ka Unka Tumhara Hmara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Karn-o- Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi

Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi

Kaun Deta Hai Dene Ko Mon Chahiye

Dene Wala Hai Sacha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Kya Khabar Kitne Taar-e-Khile Chup Gaye

Par Na Doob-e-Na Dooba Hamara Nabi

Mulk-e-Konain Main Ambiya Tajdaar

Tajdaaron Ka Aaqa Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

La Maqan Tak Ujala Hai Jiss ka Woh hai

Har Maqan Ka Ujala Hamara Nabi

Saar-e-Achon Main Acha Samjhiye Jisse

Hai Uss Achche Se Achcha Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ne Tukre Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai

Noor-e-Wahdat Ka Tukra Hamara Nabi

Sab Chamak Wale Ujlon main Chamka Kiye

Andhe Sheeshon Main Chamka Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik

Jiss ne Murda Dilon Ko Di Umar-e-Abad

Hai woh Jaan-e-Masiha Hamara Nabi

Gamzadon ko Raza Mujda Dijiye Ke Hai

Bekason Ka Sahara Hamara Nabi

Ya Mustafa Ya Mujtaba Khair-ul-Wara Noor-e-Khuda

Ap Jaisa Jahan Main Hai Koi Kahan

Ya Syeddi Ya Habibi Salam-un-Alaik

Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik Salam-un-Alaik


Related Content

  1. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  2. AAJ MUSLIM TERA MEHMAAN CHAL DIYA –
  3. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  4. Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaan Mein, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
  5. Aye Naseeb Mere Naseeb Tu
  6. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  7. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  8. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  9. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  10. Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics
  11. Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gae Ghum Beshumar Naat Lyrics
  12. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  13. Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do   Naat Lyrics
  14. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  15. Jab Gumbad-e-khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi   Naat Lyrics
  16. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  17. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  18. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  19. Meh Madine Chala (Naat Lyrics)
  20. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya

Leave a comment