Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
Sar E Mehshar Zara Bharam Rakhna
Kuch Nahi Hai Sivaye Jurm O Gunaah
Apni Ummat Pe Tum Karam Rakhna
Umr Saari Ganwai Khelon Me
Nahi Sambhley Jadey Jhamelon Me
Ab Jo Honsh Aaya Hai To Kuch Bhi Nahi
Paas Apne Zara Sharam Rakhna
Sham’aa Teri Ne Sambhala Humein
Jab Bhi Bhatkey Andheri Raaton Me
Vaastaa Tujh Ko Teri Rehmat Ka
Ye Karam Hum Pe Har Qadam Rakhna
Naik Aamal Mere Paas Nahi
Ek Naa Hai Ke Tere Paas Nahi
Khul Na Jaye Vahan Ye Raaz Kahin
Sarey Mehshar Isey Dafan Rakhna
Jab Chalun Duniya Se Aye Mere Nabi
Hai Dua Ho Jhuki Ye Meri Jabeen
Or Na Maila Ho Qalb Ye Mera
Paak Har Daag Se Kafan Rakhna
Tauba Karta Hai Har Gunahon Se
Tera ‘ Mehboob ‘ Tera Shaidai
Ik Nazar Ho Karam Ki Shah E Umam
Ta-Umar Mujh Pe Ye Karam Rakhna
Hum Gunahgaaron Ka Aye Rab Ke Rasool
Related Content
- Un Ki Nazar Mein
- Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya Naat Lyrics
- Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
- Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
- Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai Naat Lyrics
- Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
- Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Dil Madina Mera Bana Aaqa
- Pare Pare Pe Likhkha Hai Aaka Ka Naam Naat Lyrics
- Gali Hondi Madine Di Lyrics
- Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
- Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye Naat Lyrics
- Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Noor Se Apne Sarwar E Aalam Naat Lyrics
- Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
- Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
- Aap shamme risalat hain parwaney hum
- Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
- Sarkar Bulae Kadmo Mai Naat Lyrics
- Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri Naat Lyrics