Bahar e Jaan Fiza Tum Ho

Bahar E Jaan Fiza Tum Ho Nasim-E Gulsitan Tum Ho
Bahar-E Bagh-E Rizwan Tum Se Hai Zaibe Jinan Tum Ho

Khuda Ki Saltanut Ka Do Jahan Main Kaun Dulha Hai

Tumhee Tum Ho Tumhee Tum Ho Yahan Tum Ho Wahan Tum Ho

Haqeeqat Se Tumhari Juz Khuda Aur Kaun Waqif Hai
Kahe Tu Kya Kahe Koyee Chuneen Tum Ho

Chunaan Tum Honazar ‘Arif Ka Har ‘Alam Main Aya Aap Ka ‘Alam
Na Hote Tum Tu Kya Hota Bahar Har Jahan Tum Ho

Kuju Hum Khaak Uftadah Kuja Tum Ae Shah-E Bala
Agar Misl-E Zamin Hum Hain Tu Misl-E Asman Tum Ho

Main Bhula Aap Kī Rif’at Se Nisbat Hee Hamein Kya Hai
Woh Kehne Bhar Kee Nisbat Thee Kahan Hum Hain Kahan Tum Ho

Hamein Umeed Hai Rauz-E Qiyamat Unkee Rehmat Se
Ke Farmayein Idhar A’ao Na-Mayus Az-Jinan Tum Ho

Sitam Karo Khata Karo Siyah Karo Jafa Karo
Hamare Daman-E Rehmat Main Aa Jaoo Kahna Tum Ho

Tumhare Hote Saate Dard Dukh Kis Se Kahoon Pyare
Shafī’e Asiyan Tum Ho Waqīl-E Mujriman Tum Ho

Riyazat Ke Yahee Din Hain Burhape Main Kahan Himmat
Jo Kuch Karna Hai Abhi Karlo Abhi Noori Jawan Tum Ho

Faqat Nisbat Ka Jaise Hoon Haqiqi Noori Ho Jau
Mujhe Jo Dekhe Keh Uthe Miyan Noori Miyan Tum Ho


Related Content

  1. Mein Nazar Karoon Jaan O Jigar  Naat Lyrics
  2. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  3. Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
  4. Mein So Jaoo Ya Mustafa Kehte Kehte  Naat Lyrics
  5. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat
  6. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  7. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  8. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  9. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  10. Aadha Idhar Aadha Udhar
  11. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  12. Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
  13. Kis Chiz Ki Kami Hai Maula Teri Gali Main  Naat Lyrics
  14. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  15. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  16. Ishq Ke Rang  Naat Lyrics
  17. Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
  18. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  19. Aye Hasnain Ke Nana
  20. Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics

Leave a comment