Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa   Naat Lyrics

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau’n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga


Related Content

  1. Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
  2. Aadha Idhar Aadha Udhar
  3. Jab Masjid Nabvi Kay Minaar Nazar Aey (Naat Lyrics)
  4. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  5. Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi  Naat Lyrics
  6. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  7. Meri Tauba Meri Tauba  Naat Lyrics
  8. Aye Hasnain Ke Nana
  9. ShaheMadina Naat Lyrics
  10. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  11. Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein  Naat Lyrics
  12. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  13. AAJ MUSLIM TERA MEHMAAN CHAL DIYA –
  14. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  15. Karam Ke Badal Baras Rahe Hain  Naat Lyrics
  16. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  17. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  18. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  19. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  20. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH

Leave a comment