Azal Ki Khushboo Ho Jismein

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa


Related Content

  1. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  2. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM
  3. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  4. Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad  Naat Lyrics
  5. Ya Nabi Ya Nabi
  6. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics
  7. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  8. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  9. Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai  Naat Lyrics
  10. Jab Jab Nabi Ki Yaad Aye Hai Naat Lyrics
  11. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  12. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  13. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  14. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  15. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  16. Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani
  17. Ya Rabb Tere Mahboob Ka Jalwa Nazar Aaye (Naat Lyrics)
  18. La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah  Naat Lyrics
  19. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  20. MERI BAAT BAN GAYI HAI

Leave a comment