Maine Rukh Kar Liya Madine Ka

Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
Kya Bigaarey Koi Safiney Ka

Chashmey Rehmat Paree Hai Mujh Par Bhi
Lutf Aayega Ab To Jeeney Ka

Apni Ulfat Ka Jaam Do Mujhko
Mast Kar Do Mujhey Madiney Ka

Jaanib E Naar Mey Na Jaaoonga
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka

Aakhri Waqt Dafan Honey Ko
Deydo Tukra Mujhey Madiney Ka

Keyse Kehdoon Ke Be Sahaara Hoon
Mujh Ko Aaqa Milaa Madiney Ka

Deydo Taibah Ki Haazri Ka Sharaf
Meyra Maskan Banaa Madiney Ka

Abrey Rehmat Ko Ab Barasney Do
Daag Dhul Jaaye Merey Seeney Ka

Shakir E Bey Nawaa Ko Bhi Aaqa
Phir Sey Mehmaan Banaa Madiney Ka

Khwaaja E Khwaajgaan Ke Sadqey Mey
Main Musaafir Banaa Madiney Ka

Ghaus O Khwaaja Raza O Ibn E Raza
Naam Khuld E Bareen Ke Zeeney Ka

Hai Yehi Wird E Shakir E Razvi
Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka


Related Content

  1. Aadha Idhar Aadha Udhar
  2. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  3. Dil Pareshan Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  4. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  5. Dil Madina Mera Bana Aaqa
  6. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  7. Kushiyo Ki Bahaare Laaya Ramzan Mubarak Aaya  Naat Lyrics
  8. Ae Noor-e-mujjassim
  9. Baarwein Ka Chaand Aaya Lyrics
  10. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  11. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  12. Hum Dare Yaar Pe Dil Apna Jhuka Lete Hai  Naat Lyrics
  13. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  14. Jahan Roza-e-Pak Kher-ul-Wara (Naat Lyrics)
  15. Aankhon ka taara naame Muhammed
  16. Abr E Karam Gesoo E Muhammad
  17. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  18. Ek Ajab Lutf Is Tarah Jeene Mein Hai  Naat Lyrics
  19. Mera Dil Madina Bana De Ya Rasoolallah  Naat Lyrics
  20. Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

Leave a comment