Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa  Naat Lyrics

Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa
Meri Aarzu Muhammad Meri Justuju Madinah

Main Gadaae Mustafa Hun Meri Azmatein Nah Poocho
Mujhe Deykh Kar Jahannam Ko Bhi Aa Geya Paseenah

Mujhe Dushmano Nah Cherho Mera Koi Hai Jahaan Main
Main Abhi Pukaar Lun Ga Naheen Dur Hai Madinah

Main Mareez-E-Mustafa Hun Mujhe Cherho Nah Tabibo
Meri Zindagi Jo Chaaho Mujhe Le Chalo Madinah

Meray Dubne Main Baqi Nah Koi Kasar Rahi Thi
Kahaa “Almadad Muhammad” Tho Ubhar Geyaa Safinah

Siwaa Is Ke Meray Dil Mein Koi Aarzu Nahein Hai
Mujhe Mowt Bhi Jo Aaey Tho Ho Saamne Madinah

Kabhi Aey Shakeel Dil Se Nah Mite Khiyaal-E-Ahmad
Isi Arazu Mein Marna Isi Arazu Mein Jeena.


Related Content

  1. TERI JALIYON KE NEECHE
  2. Banke Sail Madine Noo Lyrics
  3. Hamne Quraan Mai Parha Hai  Naat Lyrics
  4. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  5. AASMA GAR TERE TALWOON KA NAZARA KARTA
  6. Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
  7. Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
  8. Ae Shaaf’e Umam Sha’e Zee Jaah Le Khabar
  9. Tajalli E Noor E Kidam Ghous E Aazam  Naat Lyrics
  10. Jab Masjid Nabvi Kay Minaar Nazar Aey (Naat Lyrics)
  11. Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi
  12. Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
  13. AAJ MUSLIM TERA MEHMAAN CHAL DIYA –
  14. Azal Ki Khushboo Ho
  15. Nabiyo Ke Sardar Aae  Naat Lyrics
  16. Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana  Naat Lyrics
  17. Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
  18. Aadha Idhar Aadha Udhar
  19. Soona jungle raat andheri chaye hai
  20. Lo Madine Ki Tajjali Se Lagaye Huwe Hain  Naat Lyrics

Leave a comment