Ali Haidar ka gharana

Ali Maula Ali Maula

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana
Gulam inka hai zamana


Kiya sab kaam usi ki
Riza mein raazi reh kar
Khuda ke deen ki khatir
Hazaron sadmein seh kar
Kare har dam shukrana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Kayadat hoke imamat
Wilayat hoke taharat
Sharafat hoke sadakat
Sakhawat hoke shuja’at
Har ek azmat ka thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Pukara jab mushkil mein
Unhone ki lajpali
Sabhi mangaton ki pal mein
Bhari hai jholi khali
Jhuka jis dar pe zamana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Kadi mimbar te khad ke
Kadi medaan te lad ke
Kadi neze te chad ke
Kadi khutbe pad pad ke
Sikhave deen bachana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Edha Hajweri gadagar
Te gauso khwaja naukar
Lewe Attar salami
Te sad sha’baz kalandar
Hai badeya sab dha thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Mein puchhya teri jag te
Hai tokeer wadhai
Te Mohseen kaun hai tera
Sada islam dhi aayi
Mendha Mohseen hai purana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana



Related Content

  1. Mere Aqa Aoo Ke Muddat Hoi Hai  Naat Lyrics
  2. Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Muatafa Mein  Naat Lyrics
  3. Nabi ki naat ki Mehfil Sajjaana ham Na chaurein Ge
  4. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  5. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  6. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  7. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  8. Taiba Bula Lijiye Na
  9. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  10. Mere Aaqa Aaye Jhoomo Mere Daata Aaye Jhoomo (Naat Lyrics)
  11. Choote Na Kabhi Tera Daman ya khwaja moinuddin hassan
  12. Tu Shamm-e- Risalat Hai
  13. Huzoor Aa Gaye Hai  Naat Lyrics
  14. Ab Bula Lijiye Na Madina Lyrics
  15. MERI BAAT BAN GAYI HAI
  16. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  17. Noor Wala Aya Hai Naat Lyrics
  18. Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna  Naat Lyrics
  19. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  20. Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin

Leave a comment