Aagae Mustafa Ki Sawaari

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Nuur ko Mila kay Muhammed (S.A.W.W) bana diya

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey (A.S) salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Apney mangto ko wo paaltey hain
Wo bhala kis ko kab taaltey hain

Sadqa Hasnain (R.A) o Ghausul Waraa (R.A) ka
Ya Nabi (S.A.W.W) meri jholi may daalo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Ker kay Naato sey her so charaaga
Youu manaaey gay jashney bahaara

Aashiqo Aamad-e-Mustafa (S.A.W.W) hay
Deep Khushiyoo kay her suu jala lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Waqt chamkey ga aik din hamaarey
Dekh lain gay wo dilkash nazaarey

Aap (S.A.W.W) ko jo bhi sab sey hain pyaarey
Un (R.A) kay sadqey may ham ko bula lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Jin kay haatho may hay Un (S.A.W.W) ka daaman
Naam-e-Ahmad (S.A.W.W) hay jis dil ki dharkan

Jo hay pehchaan hum aashiqo kee
Jhuum ker Un (S.A.W.W) ka naara laga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Puuray ho jaeingay un kay armaan
Ker rahey hain Wo bakhshish ka samaan

Jashne Milaad (S.A.W.W) ki barkato sey
Apney Qalbo Nazer Jag maga lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Midhat-e-Mustafa (S.A.W.W) hee kay sadqey
Hay Moin apney sab kaam bantey

Her ghari zikr ho Mustafa (S.A.W.W) ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo

Dey rahey hain farishtey salaami
Tum duruudo ki maala banaa loo

Aagae Mustafa (S.A.W.W) ki sawaari
Apne ghar ko diyo sey saga loo


Related Content

  1. Zamin- O- Zamin Tumhare Liye
  2. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  3. karam phir rasule khuda kijiyega naat lyrics
  4. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  5. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  6. Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
  7. Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda  Naat Lyrics
  8. Tere Ishq Di Dolat
  9. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  10. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics
  11. Dil Ki Duniya Ko Sajao Aaqa  Naat Lyrics
  12. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  13. Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai  Naat Lyrics
  14. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  15. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  16. Baarwein Ka Chaand Aaya Naat Lyrics
  17. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  18. YA RAB MERI SOI HUYI TAQDEER
  19. Rehbar O Taaj E Shariat Hai Aaaj Bhia  Naat Lyrics
  20. Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se  Naat Lyrics

Leave a comment