Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya

Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Kohey Shahe Arab Ka Bana Kar Mujhy Faqeer
Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya

Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey
Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy
Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb
Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan Bana Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Rashke Falaq Hey Mery Muqadar Ki Rifatein
Mujh Ko Ghulam Un Ka Khuda Ney Bana Diya

Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz
Deedar Jab Sey Un Ka Khuda Ney Kara Diya

Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya
Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya


Related Content

  1. Do jag de wich hoye ujaale,
  2. Jhoole Jhoole Pyare Mohammad  Naat Lyrics
  3. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  4. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  5. Aap aye duniya vich door hoye gham
  6. Ab Kahan Jaon Tarap Ke Lyrics
  7. Ae Shahenshah e Madina Assalat o Wassalam
  8. Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (Naat Lyrics)
  9. Meray Rub Kahan Par Naheeh Hai Tu
  10. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  11. Rahmat Ka Hai Darwaza Khula
  12. Apni Rehmat Ke Sumandar Mein Utar Jaane De Naat Lyrics
  13. Rab Mehfilan Sajayan
  14. Kabe Ki Ronak Kabe Ka Manzar  Naat Lyrics
  15. Woh Bhi Din Ayega Ek Bar
  16. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  17. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  18. Kitna Ala Rutba Hai Mere Ghouse Azam Ka  Naat Lyrics
  19. Tala Al Badru Alayna  Naat Lyrics
  20. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein

Leave a comment