Azal Ki Khushboo Ho Jismein

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa


Related Content

  1. Aao ke kare baate sarkar e do aalam ki
  2. Meeran Waliyon Ke Imam De Do Panjtan Ke Naam (Manqabat)  Naat Lyrics
  3. LAZZATE ISHQE NABI DIL ME CHUPAE RAKNA
  4. Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
  5. Amina Ka Laal Aaya Lyrics
  6. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  7. Bulalo Phir Mujhay Ae Shah-e-Behrobar
  8. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  9. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  10. Ham Faqeeron Ko Madeene
  11. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  12. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  13. Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do
  14. Sarkaar Ke Qadmo Mein  Naat Lyrics
  15. Aadha Idhar Aadha Udhar
  16. Fariyad Gause Aazam  Naat Lyrics
  17. Tum Par Main Jan
  18. Aao aao sar ko jhukayen Aaqa ka rauza nazar aagaya
  19. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  20. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics

Leave a comment