Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi
Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi
Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi
Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee
Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko
Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko
Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko
Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko
Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne
Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain
kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne
Sajde me Apne sar ko kataya Hussain ne
Yeh dashte Karbala se abhi atee sadaa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dadhi tamam Nabiyaun ki Sunnat hai momino
Islam ka sha’ar hai Rehamt hai momino
Sarkar ki Ghulami ki nisbat hai momino
Sunnnat par jo chala use jannat hai momino
Jannat me bhi mile ga hamay khurbe Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Meraj Roohe ahle baseerat Namaaz hai
Afzal tareen shughul sa’adat Namaaz hai
Mere Nabi ki Aankhaun ki Thandak Namaaz hai
Momin ke waaste to Shahadat Namaaz hai
Yeh hai kaleeme mazhare altafe kibriya
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah


Related Content

  1. Aey Mere Mola Mola Mola
  2. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  3. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics
  4. Ali Haidar ka gharana
  5. Ae Maut Thehr Ja, Main Madine Tay Ja Lawan
  6. Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota (Naat Lyrics)
  7. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  8. AA GAYE MUZDA SHAFAAT KA SUNANE WALE
  9. Koyi Kya Jane Jo Tum Ho Khuda Hi Jaane Kya Tum Ho  Naat Lyrics
  10. Ya Nabi Ya Nabi
  11. Mein Mangta Haan Teray Ishq Da  Naat Lyrics
  12. Abhi jibril utre
  13. Al Nabi Sallu Alai
  14. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics
  15. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  16. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  17. Mujhe bhi MADINAY bulaa Mayray Mowla
  18. Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hoi Hai
  19. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics
  20. Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai

Leave a comment