Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi
Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi
Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi
Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee
Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko
Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko
Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko
Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko
Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne
Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain
kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne
Sajde me Apne sar ko kataya Hussain ne
Yeh dashte Karbala se abhi atee sadaa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Dadhi tamam Nabiyaun ki Sunnat hai momino
Islam ka sha’ar hai Rehamt hai momino
Sarkar ki Ghulami ki nisbat hai momino
Sunnnat par jo chala use jannat hai momino
Jannat me bhi mile ga hamay khurbe Mustafa
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah

Meraj Roohe ahle baseerat Namaaz hai
Afzal tareen shughul sa’adat Namaaz hai
Mere Nabi ki Aankhaun ki Thandak Namaaz hai
Momin ke waaste to Shahadat Namaaz hai
Yeh hai kaleeme mazhare altafe kibriya
Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah


Related Content

  1. Na Dolat De Na Shohrat De  Naat Lyrics
  2. AAJ MUSLIM TERA MEHMAAN CHAL DIYA –
  3. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman Naat Lyrics
  4. Darpesh Ho Taiba Ka Safar Kaisa Lage Ga Naat Lyrics
  5. Soo Ae Jannat Kohn Jaae Dar Tumhara Chor Kar
  6. MAIN MANGTA HAAN TERE ISHQ DA NAAT LYRICS
  7. Hum Ko Sarkar Madine Me Bulaana Hoga  Naat Lyrics
  8. Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
  9. Tere Ishq Di Dolat
  10. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  11. karam phir rasule khuda kijiyega naat lyrics
  12. Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics
  13. Aye Madine ke Tajdar Tujhe
  14. Aj Sik Mitran Di Wadheriye Kyun Dilri Udaas Ghaneri
  15. Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya  Naat Lyrics
  16. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  17. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  18. Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
  19. Un Ka Jo Ghulaam Hogaye (Naat Lyrics)
  20. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen

Leave a comment