Ishq Ke Rang  Naat Lyrics

Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar

Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Aarzu ye he ke ho qalb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa dure aala jo nazar aye kahin jalwa e ruh e shahe abraar

Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aye jidhar se wo guzar jaye wohi raah chamak jaye damak jaye mahak jaye bane rawnaq e gulzaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Sung lun khushbu e gesu e Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muqaabil ye banafsha ye suyuti ye chambeli ye gule laala o champaa ka nikhaar

Jis ki nagkhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafa e aahu e khutan baade chaman buwe chaman naaze chaman noor e chaman range chaman saara chaman zaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhara kissi mahoub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par

Eh Rasul e Madani ek nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Aap ke zikr me hein dam masala sare huda kawne arab naghma nigaraane ajam shawkate alfaaz e adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen

Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hur jina jin ki nawahon me duroodon ka hisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Warafahnaa laka zikrak ki iss aaya e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan

Labe Hassan o Rava ha wo labe Fatima Zahra wo Ali abid e bimaar Busairi dahane urtiyo jaame labe sahti o raza sab sar shaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ishq ke rang me rang jaye muhajir ho ke pakhtun balochi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar

Jama e ishq e Muhammad jo pehen leta he har khaar ko wo phool bana leta he duniya ko jhuka leta he karta he zamaane ko muhabbat ka shikaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ye muhajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtun ki sindhi ki balochi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi esi namaz

Haram e Kabah me arafat ke medaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shumaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ya Nabi, aap ka ye adbi sana khwaan e dare rahmat ka ghada deta he dar dar ye sada deta he, aap se chaahat ka sala apni zaban me taasir

Sun ke sab ahle chaman us ka sukhan unko bhi ajaye haya sar ho nidaamat se jhuka aur nazar dekhe wo islaaf ki ulfat ka nazara ek baar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Eh Adeeb, ab yunhi alfaaz ke ambaar me ham dubte reh jayen magar haqqe sanaa koyi adaa phir bhi na kar payen ye jazbaat o zaban o kalam o fikr o khayaal
Un ki midhat to Malaaik ka wazifa he Sahaba ka tariqa ibaadat ka saleeqa he ye khaaliq ka pasandeeda he Qur’an ka he isme shyaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar

Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..


Related Content

  1. Main To Khud Unke Dar Ka Gada Hoon Naat Lyrics
  2. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  3. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  4. Parho Durood Kay Molood Ki Ghari Aayi  Naat Lyrics
  5. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge
  6. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  7. Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
  8. Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
  9. Aaj Dulha Bana Shahe Ahmad Raza
  10. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  11. Kya Mehakte Hain Mahekne Wale
  12. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  13. Ya Habib e Ahmed Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
  14. Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
  15. Ki Ki Na Kita Yaar Ney Eik Yaar Waste  Naat Lyrics
  16. Chamak Tujh Say Paatay Hain
  17. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  18. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  19. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  20. Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se

Leave a comment