Khuda ka ziker karay, zikr e mustafa na karay,
hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay!
Darr-e-rasool pe aisa kabhi nahi dekha,
koi sawaal karay aur woh ata’a na karay!
Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir,
khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay!
Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho,
kaza’a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza’a na karay!
Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main,
tamaam umar rihayi ki woh dua’a na karay!
Kaha khuda ne shifa’at ki baat mehshar main,
pehal habib karay koi doosra na karay!
Shaoor-e-naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb,
woh aadmi nahi jo innka haqq ada’a na karay!
Khuda ka zikar karay, zikr-e-mustafa na karay
Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
Related Content
- Dil Se Hazaar Baar Madina Tujhe Salam
- Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
- Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun
- Kaliyaan Zulfaa Wala Dukhi Dillan Daa Sahaara Naat Lyrics
- Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
- Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai Naat Lyrics
- Aanay Walo Yay To Bataao Shehr Madina Kaisa Hai (Naat Lyrics)
- Woh Nabiyon Main Rehmat Laqab Panay Wala
- Mujhe Dar Pay Phir Bulana Naat Lyrics
- Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai
- Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
- Naat Sarkar Ki Parta Hoon Mein
- sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
- Dile Dard Mand Ki Dastan Na Kahu Ju Tum Se To Kiya Karu Naat Lyrics
- Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya Naat Lyrics
- Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna Naat Lyrics
- Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- Hamen Donon Jahan Mein Hai Sahara Gause-Azam Ka Lyrics
- MADINE WAALE MERI LAAJPAL
- Muhammad Nabina Naat Lyrics