Fida Kr Ishq-e-Nabi Par Jaan  Naat Lyrics

Fida kr Ishq-e-Nabi par jaan
muqammal karle tu Iman zamana yaad karegaJab yaad Nabi ki aati hai  ik kaif sa aalam hota hai
jab zikre Nabi chhid jata hai ik wajd ka mosam hota hai
Yahi to kahta hai Qur’an k Aaqa hai jaan-e-Iman
zamana yaad karega  zamana yaad karega

Sarkar se tu hai door magar Sarkar to tujh se door nahi
kyu khoya khoya rehta hai Mukhtar hai tu majboor nahi
Nabi ko pahle dil se maan, Nabi par sab kuch kar Qurbaan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Aslaf ki hai taarikh yahi  sahil pe jala di hai kashtee
daudaye hain ghode dariya par kya Ishq-e-Nabi ki masti thi
Tumhi ho wo Mard-e-Maidan zara dhundo apni pahchan
zamana yaad karega   zamana yaad karega

Sarkar ke Jalwo se raushan Iman-o-Amal ki duniya hai
Sarkar ke deewano ki sada taqleed Zamana krta hai
Nabi ka dekh zara faizaan Ki taza ho jaye Iman
zamana yaad karega zamana yaad karega

Darbare wilayat kya kehna  jab unka ishara milta hai
baarah barso ki doobi kashti ko ik pal me kinara milta hai
Asad ye Ghaus ka hai faizan  hai jis se Fikr-o-nazar hairan
zamana yaad karega zamana yaad karega

Jo baat thi Aa’la Hazrat ki wo aaj kisi Molwi me nahi
Wo Ishq-e-Nabi ke Paikar the, tharrate the unse Dushman bhi
diya humko Kanzul Iman ye hai hum par unka ehsaan
zamana yaad karega zamana yaad karega


Related Content

  1. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  2. Hum Khak Hain Aur Khak Hi Mawa Hain Hamara  Naat Lyrics
  3. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  4. Arshe Haq Hai Masnade Rifat Rasoolullah Ki – Naat Lyrics
  5. Kaak Sooraj Se Andehro Ka Izalah Hoga (Naat Lyrics)
  6. Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
  7. Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main   Naat Lyrics
  8. Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
  9. Mustafa Aap Ke Jesa Koi Aaya Hi Nahi  Naat Lyrics
  10. Shahe Madina Taiba Bulalo Shahe Madina Naat Lyrics
  11. TARON MEIN ROSHNI
  12. Koi Kaise Samajh Paayega Rutba Sabz Gumbad Ka  Naat Lyrics
  13. AI SABZE GHUMBADH WALE MANZOOR DUA KARNA
  14. Mim Madina Marehara Ki Kismat   Naat Lyrics
  15. Dardo Aalam Ke Mare
  16. Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada   Naat Lyrics
  17. Karam Karam Mola
  18. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain    Naat Lyrics
  19. Apni Lagan Laga De
  20. Na Tera Khuda Koi Aur Hai Lyrics

Leave a comment