Hum Ko Bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Habiballah

Kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge

hamein bulwaein ge aaqa madina hum bhi dekhaein ge

Dharak uthe ga ye dil ya dharkna bhool jaae ga

dil e bismil ka us dur pur tamasha hum bhi dekhein ge

Adab se haath baande un ke roze pur khare hon ge

sunehri jaaliyon ka yun nazara hum bhi dekhein ge

Dar e dolat se lotaya nahi jaata koi khali

wahan khairat ka butna khudara hum bhi dekhein ge

Barasti gumbad e khuzra se takrati hui boondein

wahan pur shan se baarish barasna hum bhi dekhein ge

Guzare raat din apne issi ummeed pur hum ne

kisi din to jamal e roo e zeba hum bhi dekhein ge

Dum e rukhsat qadam mun bhar ke hain mehsoos karte hain

kise hai jaa ke lot aane ka yaara hum bhi dekhein ge

Pohonch jaaein ge jis din ae ujagur un ke qadmon mein

kise kehtein hain jannat ka nazara hum bhi dekhein ge

Hum ko bulana Ya Rasulallah

Hum ko bulana Ya Habiballah


Related Content

  1. Karam Karte Hi Rehate Ho  Naat Lyrics
  2. Na Ho Aaraam Jis Bimaar Ko Saare Zamaane Se (Naat Lyrics)
  3. Bigri Bana-O Makki Madani, Bigri Bana-O Makki Madani
  4. Azal Ki Khushboo Ho
  5. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  6. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  7. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  8. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  9. Aaj Muhammad Aye Moray Ghar
  10. karam phir rasule khuda kijiyega naat lyrics
  11. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  12. Abr e Karam Gesoo E Muhammad
  13. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  14. Tera Khaawan Main Tere Geet Gaawan, Ya Rasoolallah (Naat Lyrics)
  15. DIL KI MURAAD PAA?E GHE AAJ NAHEIN TO KAL SAHEE
  16. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  17. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  18. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  19. Bighari Banaao Makki Madani  Naat Lyrics
  20. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics

Leave a comment