Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar

aaka ko pukar bande aaka pukar

inshaallah ho jaega tera bera paar

aaka ko pukar bande……………….

unke hath me cool kunji hai

rab ne unhe mukhtar kiya

hum ko unka mangta banaya

or unhe sarkar kiya

jo sarkar ke dar ka gada hai

wo khud hai mukhtar

aaka ko pukar bande………………..

kya kehana darbare nabi ka

uski shaan hi aali hai

har giz na mehrum wo lota

us dar ka jo sawali hai

aao chale ab suae madina

chhor ke sab dharbar

aaka ko pukar bande………………..

aala hazarat ne yaro ye

sabak hame sikhlaya hai

jo gustakhe khuda wa nabi hai

apna nahi wo paraya hai

ha aise gustakho par

maula ki hai fitkar

aaka ko pukar bande………………..

kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’

dar par wo bulwaenge

ranjo gam sab dur karege

soae bhug jagaenge

or bhi koy unke siwa hai

dukhiyo ka gam-khwar

aaka ko pukar bande………………..

apni to pahechan yahi hai

apni to hai shaan yahi

daman mai kuchh or nahi hai

dil mai hai armaan yahi

itni parhu me unki naate

razi ho sarkar

aaka ko pukar bande………………..

yade nabi me tu ae ‘razwi’

unki midahat karta ja

deewaro ka dil bhar aae

zom ke naate parhata ja

jald madine jaaega tu

lagate hai aasar

aaka ko pukar bande………………..


Related Content

  1. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  2. Sab Se Aola Woh Aala Hamara Nabi (Naat Lyrics)
  3. MANGHTE HE KARAM UNKA SADAA MANGHRAHE HE
  4. Aankhein Ro Ro Ke Sujane Wale Naat Lyrics
  5. Allah Ke Huzoor Me Sar Ko Jhukaa Ke Dekh
  6. Aye Hasnain Ke Nana
  7. Sakhi Piya Ko Jo Main Na Dekhon (Naat Lyrics)
  8. Jidhar Dekhu Madine Ka Haram Ho  Naat Lyrics
  9. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  10. Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye  Naat Lyrics
  11. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  12. Hamne Quraan Mai Parha Hai  Naat Lyrics
  13. Apni Lagan Laga De
  14. Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
  15. Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics
  16. Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon (Naat Lyrics)
  17. MEHBOOB DA MELA AE
  18. Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se  Naat Lyrics
  19. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  20. Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega  Naat Lyrics

Leave a comment