Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat

Aalam Mein Baraat Rachi Hai

Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai

Arsh Ka Dulha Aaya Hai



Arsh Se Utra Noor, Khuda Ka

Noor Badaman Saari Duniya

Inki Ziaa Se Ye Chamkee He

Arsh Ka Dulha Aaya He



Kufur Ki Boo Kafoor Hui He

Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se

Khushboo-e-Iman Pehli He

Arsh Ka Dulha Aaya Hai



Khushiyon Ke Fuwaaray Uble

Kaysi Masti Chayi Hai

Ghar Ghar Mein Shaadi Utri He

Arsh Ka Dulha Aaya He



Nikhre Nikhre Gulshan Saaray

Rung Ajab Hen Phoolon Ke

Dali Dali Youn Mahki He

Arsh Ka Dulha Aaya Hai



Hoor-O-Ghilmaan Sarae Maalaik

Jinn-O-Insaan Taab’ay Hen

Donoo A’alam Par Shahi He

Arsh Ka Dulha Aaya He



Farsh Pe Chamka Arsh Ka Tara

Amina Bi Ke Ghar Utraa

Do A’alam Mein Dhoom Machi He

Arsh Ka Dulha Aaya He



Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujagar

Tanha Fayiz Sarwar Hen

Baraati Har Aik Nabi He

Arsh Ka Dulha Aaya He


Related Content

  1. Nabi Ka Jashn Aaya  Naat Lyrics
  2. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  3. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  4. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  5. Kaabe Ke Badrud Duja Tum Pe Karoron Durood  Naat Lyrics
  6. Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
  7. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  8. Koi Nabi Nahi Hai Mere Mustafa Ke Baad  Naat Lyrics
  9. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  10. Agayaa Wo Noore Waala Jiska Saara Noor He (Naat Lyrics)
  11. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  12. Do Jahaan Ke Waali Ka  Naat Lyrics
  13. Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha E Tanhaii Ho  Naat Lyrics
  14. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  15. labbaik_labbaik_Allahumma_labbaik_naat_lyrics
  16. Aaqa Ka Milad Aaya
  17. Tala Al Badru Alyna
  18. An Nabi Sallo Alaih – Salawathullah Alaih
  19. Tum Par Main Jan
  20. Jashan-e-Amad-e-Rasool ALlah hi Allah (Naat Lyrics)

Leave a comment