Chamane Taiba Mein Sumbul Jo Sawaare Gesu

Chamane Taiba mein sumbul jo sawaare gesu
Hoor badh kar shikane naaz pe waare gesu

Ki jo baalon se tere Rauze ki jaaroob kashi
Shab ko shabnam ne tabarruk ko hain dhaare gesu

Hum siyah kaaron pe Ya Rab tapishe mahshar mein
Saaya afgan hon tere pyare ke pyare gesu

Charche hooron mein hain dekho to zara baale burraq
Sumbule khuld ke qurban utare gesu

Aakhire Hajj ghame ummat mein paresha(n) ho kar
Teerah bakhton ki shafa’at ko sidhare gesu

Gosh tak sunte the fariyad ab aaye taa dosh
Ki bane khana badoshon ko sahare gesu

Sukhe dhano(n) pe humare bhi karam ho jaaye
Chaye rehmat ki ghata ban ke tumhare gesu

Ka’baye Jaa(n) ko pinhaya hai gilafe mushkee(n)
Udh ke aaye hain jo abr pe tumhare gesu

Silsila paa ke shafa’at ka jhuke padte hain
Sajdaye shukr ke karte hain ishare gesu

Mushk boo koocha ye kis phool ka jhada un se
Hooriyo ambare saara huye saare gesu

Dekho Qur’an me shabe Qadr hai ta matlaye fajr
Ya’ni nazdeek hain aariz ke woh pyare gesu

Bheeni khushboo se mahak jaati hain galiya(a) wallah
Kaise phoolo mein basaye hain tumhare gesu


Related Content

  1. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  2. Jitna Diya Sarkaar Ne Mujh Ko Itni Meri Awqaat Nahi
  3. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  4. Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan  Naat Lyrics
  5. Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai  
  6. Maine Rukh Kar Liya Madine Ka
  7. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  8. Naatein Sarkar Ki Parta Hoon Mein
  9. Ni Mitiyye Madeene Diye
  10. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  11. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  12. Soona jungle raat andheri chaye hai
  13. Madina Saaddi Jaan Ay (Naat Lyrics)
  14. Taybah Ki Hai Yaad Aayee Ab Ashk Bahaanay Do
  15. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  16. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  17. Na Chedo Zirk E Jannat  Naat Lyrics
  18. Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
  19. Azal Ki Khushboo Ho Jismein
  20. Ekh Talab He Ekh Hi Khoo La Ilaha Illahu (Naat Lyrics)

Leave a comment