Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya,
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.

Teri Marzi Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam,
Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya.

Badh Chali Teri Ziya Andher Aalam Se Ghata,
Khul Gaya Gesoo Tera Rahmat Ka Badal Ghir Gaya.

Bandh Gai Teri Hawa Saawah Me Khak Udane Lagi,
Badh Chali Teri Jiya Aatash Pe Pani Phir Gaya.

Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha,
Tere Sadake Se Najiyullah K Bajra Tar Gaya.

Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujre Ko Jhuka,
Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.

Momin Unka Kya Hua Allah (Jalla Shanahu) Uska Ho Gaya,
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya

Wo Ki Us Dar Ka Huaa Khalqe Khuda Us Ki Hui,
Wo Ki Us Dar Se Phir Allah (Jalla Shanahu) Us Se Phir Gaya.

Mujko Deewana Batate Ho Main Wo Hushyaar Hu,
Paanw Jab Tawfe Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya.

Ramatul Lil Aalmeen Aafat Me Hun Kaisi Karun,
Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Gaya.

Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kankariya Thi Wo,
Jin Se Itne Kafiro Ka Dafa’tan Munh Phir Gaya.

Kyun Janabe Bu Huraira Tha wo Kaisa Jaame Sheer,
Jis Se Sattar Saahibo Ka Dudh Se Munh Phir Gaya

Waasta Pyare Ka Aisa Ho Ki Jo Sunni Mare,
Yu Na Farmaye Tere Shaahid Ki Wo Faajir Gaya.

Ars Par Dhoome Mache Wo Momine Swaaleh Mila,
Fars Se Maatam Uthe Wo Tayyib-O-Taahir Gaya.

Allah Allah Ye Uluwe Khaas Abdiyyat Raza,
Banda Milne Ko Karib Hajrate Kadirgaya.

Thokare Khaate Firoge Unke Dar Par Pad Raho,
Kafila To Aye Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.


Related Content

  1. NABI KA JASHAN AAYA 
  2. Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (Naat Lyrics)
  3. Main Aasi Hoon Magar Tu Hai Gaffar Ya Allah  Naat Lyrics
  4. Aao ke kare baate sarkar e do aalam ki
  5. Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka  Naat Lyrics
  6. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  7. Aey Ishq E Nabi Mere Dil Main Bhi Samaa Jaana (Naat Lyrics)
  8. Mujhe Apna Bana Lo Tum Khudara  Naat Lyrics
  9. Ham Faqeeron Ko Madeene
  10. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  11. Apni Atta Ka Haq Ne Yeh Manzar Dikha Diya
  12. AA GAYA WOH NOOR WALA JIS KA SARA NOOR HAI
  13. Subhe Baharaan  Naat Lyrics
  14. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  15. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  16. Tum Par Main Jan
  17. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  18. Sarkar Ka Madina  Naat Lyrics
  19. Jasne Amade Rasool Allah Hi Allah  Naat Lyrics
  20. Arsh Ka Dulha Aaya Hai Naat

Leave a comment