Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Madina Madina hamara Madina

Hame Jano dil se He oiyara Madina

Sohana sohana dil ara Madina

Har ashiq ki ankhon ka tara Madina

Sabhi Asiqe Mustafa kah rahe hein

Hamein to He Janat se piyara Madina

Ye rangeen fazaein ye mahki hawaein

Mo’atar mo’anber He sara Madina

Madine kay Jalwoon kay qurban jaon

He Qudrat ne kaisa sanwara Madina

Paharoon mein bhe husn kantein bhe dilqash

Baharoon ne kaisa nikhara Madina

Wahan Piyara Kaba yahan Sabz Gumbad

Wo Makkah bhe meetha to Piyara Madina

Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics

Bulalejeye ab to Qadmoon mein Aqa

Dikha dejeye ab to piyara Madina

Phiroon gird Kaba piyoon Abe Zam Zam

Mein phir a kay dekhoon Tumhara Madina

Masaib howe dour sare jahan kay

Giya jab koi gham ka mara Madina

He shaho gada muflis-o-aghniya ka

Bila raib sab ka guzara Madina

Ye diwane Aqa ! Madine ko aein

Bolalo inhein ab Khudara Madina

Khuda gar qiyamat mein Farmae Mangoo!

Ligaein gay diwane Nara “Madina”

Madine mein Aqa hamein mout ae

Bane kash! madfan hamara Madina

Use sair-e-gulshan say kya ho ta’aluq!

Kiya jis ne Tera Nazara Madina

ZIYA(Rehmatullah Alaih) Peer-o-Murshid k Sadke mein Aqa

Ye ATTAR ae dobara Madina


Related Content

  1. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  2. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  3. Kis Ke Jalwe Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai  Naat Lyrics
  4. Raah Pur Khaar Hai Kya Hona Hai  Naat Lyrics
  5. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  6. AA GAYI MUSTAFA KI SAWARI
  7. Bas Apne Dil Maen Madine ki
  8. Mere Sarkar Sunte Hai  Naat Lyrics
  9. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  10. CHAL QALAM AB HAMD E RABB
  11. Habib E Khuda Ka Nazaara Karoon Main (Naat Lyrics)
  12. Islam Zindabad, Islam Zindabad
  13. Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
  14. Al Nabi Sallu Alai
  15. Yeh Sab Tumahara Karam Hai Aqa
  16. Aaya Ramzan ka Mahina Kafila chala soo-e-Madina lyrics
  17. Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye  Naat Lyrics
  18. MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
  19. Aa Jaaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
  20. ZIKR E KHAIR UL WARA NAAT LYRICS

Leave a comment