aaka ko pukar bande aaka pukar
inshaallah ho jaega tera bera paar
aaka ko pukar bande……………….
unke hath me cool kunji hai
rab ne unhe mukhtar kiya
hum ko unka mangta banaya
or unhe sarkar kiya
jo sarkar ke dar ka gada hai
wo khud hai mukhtar
aaka ko pukar bande………………..
kya kehana darbare nabi ka
uski shaan hi aali hai
har giz na mehrum wo lota
us dar ka jo sawali hai
aao chale ab suae madina
chhor ke sab dharbar
aaka ko pukar bande………………..
aala hazarat ne yaro ye
sabak hame sikhlaya hai
jo gustakhe khuda wa nabi hai
apna nahi wo paraya hai
ha aise gustakho par
maula ki hai fitkar
aaka ko pukar bande………………..
kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’
dar par wo bulwaenge
ranjo gam sab dur karege
soae bhug jagaenge
or bhi koy unke siwa hai
dukhiyo ka gam-khwar
aaka ko pukar bande………………..
apni to pahechan yahi hai
apni to hai shaan yahi
daman mai kuchh or nahi hai
dil mai hai armaan yahi
itni parhu me unki naate
razi ho sarkar
aaka ko pukar bande………………..
yade nabi me tu ae ‘razwi’
unki midahat karta ja
deewaro ka dil bhar aae
zom ke naate parhata ja
jald madine jaaega tu
lagate hai aasar
aaka ko pukar bande………………..
aaka ko pukar bande aaka pukar
Related Content
- Allah Ho Allah Ho Dum Ba Dum Allah Ho (Naat Lyrics)
- Na Kaleem Ka Tasawwur Na Khiyaal-E-Tur-E-Sinaa Naat Lyrics
- Karam Jo Aapka Ay Sayyad E Abrar Ho Jaye Naat Lyrics
- Ae Ishq e Nabi Meray Dil Mein Bhi Sama Jana
- Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Naat Lyrics
- Aao ahle shariat pardhaye tumhe
- Uchiyan Uchiyan Shaana
- Mustafa Khairul Wara Ho Naat Lyrics
- Dardo Aalam Ke Mare
- Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda Naat Lyrics
- Hum Ko Bulana Ya Rasulallah
- Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain Naat Lyrics
- Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri Naat Lyrics
- Ek Baar Madine Me Ho Jaye Mere Jaana Naat Lyrics
- La Mau-Jooda Illallah La Mash-huda Illallah Naat Lyrics
- Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi Naat Lyrics
- Har Waqt Tasawur Main Madine Ki Gali
- Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
- Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay
- Lab Per Naat-e-Pak Ka Naghma Naat Lyrics