Khuda Ka Ziker Karay, Zikr e Mustafa Na Karay

Khuda ka ziker karay, zikr e mustafa na karay,
hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay!
Darr-e-rasool pe aisa kabhi nahi dekha,
koi sawaal karay aur woh ata’a na karay!
Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir,
khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay!
Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho,
kaza’a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza’a na karay!
Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main,
tamaam umar rihayi ki woh dua’a na karay!
Kaha khuda ne shifa’at ki baat mehshar main,
pehal habib karay koi doosra na karay!
Shaoor-e-naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb,
woh aadmi nahi jo innka haqq ada’a na karay!
Khuda ka zikar karay, zikr-e-mustafa na karay


Related Content

  1. Sabke Hajat Rawa Garib Nawaj  Naat Lyrics
  2. Jahaan Rauza E Pak E Khairul Wara Hai
  3. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  4. Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
  5. Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah
  6. Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
  7. Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
  8. Tum Par Main Jan
  9. Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
  10. Mangate Hain Karam Unka Sada  Naat Lyrics
  11. Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro  Naat Lyrics
  12. Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
  13. Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam Lyrics
  14. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  15. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  16. Dare Khawaja Pe Sawali  Naat Lyrics
  17. Muh Se Ek Baar Laga Laytey Jo Maula Pani   Naat Lyrics
  18. Zaban Pey Sirf Hai Dawa e Misal Koi Nahi
  19. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  20. Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me  Naat Lyrics

Leave a comment