Aye Hasnain Ke Nana

Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana

Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana

Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana


Related Content

  1. JASHNE AHMEDE RASOOL ALLAH HI ALLAH
  2. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  3. Sunehri Jalion Ko Nazar Aane
  4. AAJ DULHA BANA SHAHE AHMAD RAZA
  5. Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhoon
  6. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  7. Tere Ishq Di Dolat
  8. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  9. Main Nazar Karun Jaan O Jiigar  Naat Lyrics
  10. Abhi jibril utre
  11. Noor Wala Aya Hai  Naat Lyrics
  12. Ae Mowla Ik Baar Dikhadey Jalwa Kamli Waley Ka
  13. Aanay Walo Yay To Bataao Shehr Madina Kaisa Hai (Naat Lyrics)
  14. Mein Taliyan Nabi Diyan Choomda Lyrics
  15. Sahar Ka Waqt Hai Masum Kaliya Muskurati Hain  Naat Lyrics
  16. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  17. Hum Ne Marny Ki Madiny men dua
  18. Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do   Naat Lyrics
  19. Qaseeda E Mearaj  Naat Lyrics
  20. Dil Main Ishq E Nabi Ki Ho Aisi Lagan  Naat Lyrics

Leave a comment