Sirf Ek Baar  Naat Lyrics

Sirf Ek Baar Naat Lyrics

Hazar Bar Uthenge Kadam Khuda Ki Taraf

Bas Ik Bar Chale Ao Mustafa Ki Taraf

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Dil Se Mustafa Ko Tu Pukar

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Mustafa Mustafa Mustafa Mustafa

Wo Karam Chahein Jahan Par Bhi Wahi Karte Hein

Faisale Gumbade Khazra Ke Makeen Karte Hein

Jinpe Karte Hein Inamat Ki Barish Aqa

Uski Kismat Mein Madine Ki Zameen Karte Hein

Bas Ik Bar Chale Ao Mustafa Ki Taraf

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Jahan Jahan Bhi Gaye Wo Karam Hi Karte Gaye

Kisi Ne Manga Na Manga Wo Jholi Bharte Gaye

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Dil Se Mustafa Ko Tu Pukar

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Koi A Jaye Talab Se Bhi Siwa Dete Hein

Aur Bimar Ko Har Dukh Ki Dawa Dete Hein

Sang Mare Jo Koi Usko Dua Dete Hein

Dushman A Jaye To Chadar Bhi Bichha Dete Hein

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Dil Se Mustafa Ko Tu Pukar

Kaha Majnu Ne Koi Misle Laila Ho Nahin Sakta

Kaha Farhad Ne Shirin Ke Jaisa Ho Nahin Sakta

Zulikha Ne Kaha Yusuf Se Achha Ho Nahin Sakta

Kaha In Sab Se Meine Sab Ye Munkin Hai Magar Sun Lo

Muhammad Dusra Duniya Mein Paida Ho Nahin Sakta

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Ya Nabi Nuskha-E-Taskhir Ko Mein Jan Gaya

Usko Sab Man Gaye Ap Ko Jo Man Gaya

Basa Irade Se Hi Mojon Ka Hua Kam Tamam

Ya Nabi Kehna Hi Chaha Tha Ke Tufan Gaya

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Dil Se Mustafa Ko Tu Pukar

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Gham Sabhi Rahato Taskeen Mein Dhal Jate Hein

Jab Karam Hota Hai Halat Badal Jate Hein

Koi Dikhe To Zara Unki Duhai De Kar

Ishk Sadik Ho To Patthar Bhi Pigal Jate Hein

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar

Dil Se Mustafa Ko Tu Pukar

Sirf Ik Bar Sirf Ik Bar


Related Content

  1. Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa   Naat Lyrics
  2. Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain   Naat Lyrics
  3. Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
  4. Ban Kay Kher-ul-Wara Agaey Mustafa Lyrics
  5. Soona jungle raat andheri chaye hai
  6. Yah Kis Shahnsha Ki Aamad Aamad Hai (Naat Lyrics)
  7. Aa Gayi Jag De Vich Bahaar
  8. YA TAIBA YA TAIBA
  9. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics
  10. Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
  11. Do jag de wich hoye ujaale,
  12. Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja  Naat Lyrics
  13. Allah Ne Pohanchaya Sarkar Ke Qadmon Main Naat Lyrics
  14. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  15. Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics
  16. Nabi Ki Naat Ki Mahefil Sajana Hum Na Chhorenge  Naat Lyrics
  17. Mere Allah Ke Nigaar Salaam  Naat Lyrics
  18. Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics
  19. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  20. Jalwa Hai Noor Hai Ke Sarapa Raza Ka Hai  Naat Lyrics

Leave a comment