Ya Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Zahra paak ke sadqe humko
Taiba me bulana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Aap ke dar ka mai hu bhikari
Aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
Pyaara apna naata
Aap to hai aata hai jinko
sabki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Be saaya hai lekin woh
Jag par hai aapka saaya
Arshe moh`alla bana mohalla
Deed ko Rab ne bulaya
Hasr tak na hoga kisika
Aisa aana jana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Sajh gayi hai meelad ki mehfil
Kya hai khoob nazara
Kaifo masti me dooba hai
Dekho aalam saara
Dhund rahi aap ki rehmat
Bakshish ka bahaana
Aye Hasnain ke nana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho
Khadim e Gaus e Jali hu
Karta hai mujh pe naaz zamana
Mai Ausaat e Ali hu
Aap ki aal ke dar ka sag hu
Aur saahil hu purana
Ya Nabi nazre karam farmana
Aye Hasnain ke nana
Aye Hasnain Ke Nana
Related Content
- Karam Hai Rab Ka Hamara Naseeb Aala Hai
- Mein Mangta Haan Teray Ishq Da Naat Lyrics
- Mere Aaka Mere Aaka Naat Lyrics
- Aey Saba Mustafa Se Keh Dena
- TARON MEIN ROSHNI
- Bulalo Phir Mujhay Ey Shahe Bahrobar, Madinay Main Naat Lyrics
- Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
- Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
- Aaqa Ka Milad Aaya
- Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
- Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
- Zahe Muqaddar Huzoor-E-HaqSe
- Aa Jaye Bulawa Mujhe Aqa Tere Dar Se
- MADINE KA SAFAR HAI AUR MAIN NAMDEDA NAMDEDA NAAT LYRICS
- Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
- Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
- Al Nabi Sallu Alai
- Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte (Naat Lyrics)
- Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah Naat Lyrics
- Kya Mehakte Hain Mahekne Wale