Azal Ki Khushboo Ho Jis Mein Pinhaa’n Koi Bataye To Naam Aisa Lyrics

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
wo naam-e-Ahmed (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ke phool barsein
Bayan Aisa Kalam Aisa
Azal Ki Khushboo

Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n
wohi hai rab jiska hai sama khaa’n
Farishte pardh pardh ke jhoomte hain
Durood aisa Salam aisa
Azal ki khushboo

Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan
hai arsh bhi jispe naaza’n
wohi tu laya hai deen aisa
wohi tu laya nizaam aisa
Azal ki khushboo

wo jis ka saya tu arsh par hai
wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai
wohi jo chamka tu phir na dooba
wohi hai mahe tamam aisa
Azal ki khushboo

nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa
buzurgon par tar hai sirf taqwa
koi jahan mein hai deen aisa
kahin hai koi nizaam aisa
Azal ki khushboo

Woh jis andheri gali se guzra
badal diya noor mein andhera
dilon ki dunia badal ke rakhdi
dia dilon ko payam aisa
Azal ki khushboo

Aqeel aisa khalil aisa
jalil aisa jamil aisa
na riffaton mein na azmaton mein
kisi ne paya maqam aisa
Azal ki khushboo

qala’t aisi sa’adat aisi
riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi
wo jispe kaabe ko washjd aaya
sujood aisa qayam aisa

Azal ki khush boo ho jismein pinhaa’n
koi batae tu naam aisa
woh naam-e-Ahmed ke phool barsein
bayan aisa kalam aisa
Azal ki khushboo


Related Content

  1. Tala Al Badru Alayna  Naat Lyrics
  2. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  3. Paigham Saba Layee Hai Yeh Gulzar E Nabi  Naat Lyrics
  4. Mustafa E Zaat E Yakta Aap Hain  Naat Lyrics
  5. Maare Angariyen Aao Sarkar Madinah Varaa Saanvariah  Naat Lyrics
  6. MEHBOOB DA MELA AE
  7. Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do   Naat Lyrics
  8. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  9. Jab Say Howa Hey Unka Karam
  10. Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
  11. Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
  12. Ho Karam Sadqey Mein Is Raat Ke Aye Rab E Azeem
  13. Mujhe Rang De Maula
  14. Allah Ni Yeh Shan Barhai, Tere Dar Ki
  15. MERE BAGHDAADI GHAUSUL ANAAM NAAT LYRICS
  16. Ya Rab Hai Bakhsh Dena 
  17. Bhejo Darood Us Zaat Per,mikar sada kaho
  18. Fauze Ghum Ki Baraa Bar Chadhayi Hai  Naat Lyrics
  19. ALLAH Ho Rabo Muhammadin
  20. Izn Kar do Ataa Dar Pe Aaon Shaha Naat Lyrics

Leave a comment