Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
Kiya Cheez Hai Duniya Bhool Gaya
Yoon Hosh-O-Khirad Maflooj Huay
Dil Zauq-E-Tamaasha Bhool Gaya
Phir Rooh Ko Izn-E-Raqs Mila
Khwabeedah Junoon Bedaar Huaa
Talwon Ka Taqaza Yaad Raha
Nazron Ka Taqaza Bhool Gaya
Ehsaas Ke Parday Lehraaye
Imaan Ki Haraarat Tez Huee
Sajdon Ki Tadap Allah Allah
Sar Apna Sauda Bhool Gaya
Jiss Waqt Dua Ko Haath Uthay
Yaad Aa Na Saka Jo Socha Tha
Izhaar-E-Aqeedat Ki Dhun Mein
Izhaar-E-Tamanna Bhool Gaya
Pohncha Jo Haram Ki Chaukhat Per
Ik Abr-E-Karam Nay Ghair Liya
Baqi Na Raha Yeh Hosh Mujhay
Kiya Maang Liya, Kiya Bhool Gaya
Her Waqt Barasti Hai Rehmat
Kaabay Mein Jamil, Allah Allah
Khaati Hoon Mein Kitna Bhool Gaya
Kaabay Peh Pari Jab Pehli Nazar
Related Content
- Baravein Ka Chand Aya, Baravein Ka Chand Aya (Naat Lyrics)
- Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
- Ajmer ka safar ab mujko ata ho khwaja
- Aao ke kare baate sarkar e do aalam ki
- Mein Mangta Haan Teray Ishq Da Naat Lyrics
- Sunni Musalman Mai Sunni Musalman Naat Lyrics
- Na Kahin Se Door Hein Manzilen Naat Lyrics
- Zikre Aaqa Se Seena Saja Hai Naat Lyrics
- Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
- Noor Se Apne Sarwar E Aalam Naat Lyrics
- Tum Par Main Lakh Jaan se Fida Ya Rasool
- Aankhon ka taara naame Muhammed
- Nazar Mai Hai Kaba Tu Dil Mai Naat Lyrics
- Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics
- Noor Wala Aya Hai
- Kardo Allah Karam Ay Mere Shahe Umam
- Bheek ‘Ata Ae Nabi Muhatasham Ho
- Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya
- Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro Naat Lyrics
- Ham Faqeeron Ko Madeene