Dil Dard Se Bismil Ki Tarha Laut Raha Ho  Naat Lyrics

Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot Raha Ho Naat Lyrics

Sine Pe Tasalli Ko Tera Hath Dhara Ho

Gar Waqte Ajal Sir Teri Chaukhat Pe Jhuka Ho

Jitni Ho Qaza Ek Hi Sajde Me Ada Ho

Tum Zat E Khuda Se Na Juda Ho Na Khuda Ho

ALLAH Ko Ma’alum Hai Kya Janiye Kya Ho

Ye Kyu Kahu Mujhko Ye Ata Ho Ye Ata Ho

Wo Do Ke Hamesha Mere Ghar Bhar Ka Bhala Ho

Dekha Unhe Mahshar Me To Rehmat Ne Pukara

Azad Hain Jo Apke Daman Se Bandha Ho

Firdous Ke Bagho Se Udhar Mil Nahi Sakta

Jo Koyi Madine Ke Bayaba Me Ghuma Ho

Mangta To Hain Mangta Koi Shaho Me Dikha De

Jisko Mere Sarkar Se Tukda Na Mila Ho

Mitti Na Ho Barbad Pase Marge Ilahi

Jab Khaq Ude Meri Madine Ki Hawa Ho

Ata Hain Faqeero Pe Unhe Pyar Kuch Aisa

Khud Bheekh De Khud Kahe Mangta Ka Bhala Ho

Dhundha Hi Kare Sadr Qayamat Ke Sipahi

Woh Kisko Mile Jo Tere Daman Me Chupa Ho

De Daliye Apne Lab E Ja Baksh Ka Sadqa

Ay Chara E Dil Dard E Hasan Ki Bhi Dawa Ho

dil dard se bismal ki terhan lout raha ho
seenay pay tasalii ko tra haath dhara ho

kyun apni gali mein woh rawadaar sada ho
jo bheek liye raah e gadda dekh raha ho

gir waqt e ajal sir tri chokhat pay jhuka ho
jitni ho qaza aik hi sajda mein Ada ho

hamsaaya rehmat hai tra saya deewar
Rutba se tunazul kere to zllِ HUMMA ho

moqoof nahi subah qayamat hi pay yeh arz
jab aankh khulay samnay to jalva numa ho

day uss ko dmِ nazaa agar hoor bhi saghar
mun phair le jo تشنۂ deedar tra ho

Firdous ke baghoon se idher mil nahi sakta
jo koi madinah ke biyaabaan mein gumaa ho

dekha unhen Mahshar mein to rehmat ne puraka
azad hai jo aap ke daman se bandha ho

aata hai faqeero pay inhen pyar kuch aisa
khud bheek den aur khud kahin منگتا ka bhala ho

viran hon jab abad makan subh-e qayamat
ujda sun-hwa dil aap ke jloon se basa ho

dhoonda hi karen saddar qayamat ke sipahi
woh kis ko miley jo tre daman mein chhupa ho

jab dainay ko bheek aaye sar-e kaway گدایاں
lab par yeh dua thi marey منگتا ka bhala ho

jhُk kar unhen milna hai har ik khaak nashen se
kis wastay neecha nah woh damanِ quba ho

tum ko to ghulamoo se hai kuch aisi mohabbat
hai tark e Adab warna kahin hum pay fida ho

day dalie –apne lbِ jaan bakhash ka sadqa
ae charah dil drdِ حسنؔ ki bhi dawa ho


Related Content

  1. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  2. Aya Na Hoga Is Tarha, Husn O Shabab Ret Par
  3. Arzo Sama Banay Hain – Naat Lyrics
  4. Ae Bekason Ke Wali dede hamain sahara
  5. Fariyad Gause Aazam  Naat Lyrics
  6. Dar e Nabi Par Ye Umar Bite Ho Mujhpe Lutf e Dawaam Aisa Naat Lyrics
  7. Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib
  8. Aaqa Ka Milad Aaya
  9. BATIL KE JAB JAB BADLE HAI TEVAR NAAT LYRICS
  10. Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota (Naat Lyrics)
  11. Jashn-e-wiladat Zindabad  Naat Lyrics
  12. Hazir Hain Tere Darbar Mein Hum
  13. Sacchi Baat Sikhate Yeh Hai  Naat Lyrics
  14. Sadkhe Me Mustafa Ke Madine Ko Jayeinge  Naat Lyrics
  15. Unki Mahek Ne Dil Ke Ghunchey Khila Diye He
  16. Al Nabi Sallu Aleh Salawat Ullah Aleh (Naat Lyrics)
  17. Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hai  Naat Lyrics
  18. Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi  Naat Lyrics
  19. Ae Sabz Gumbad Wale Lyrics
  20. Ek Ajab Lutf Is Tarah Jeene Mein Hai  Naat Lyrics

Leave a comment