Eidon Ki Hai Eid Aayi

Rahmat Khuda ki chayi Eido ki Eid aayi

Pahli bahar aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milad ki shab aayi Eido ki Eid aayi

Masroor he Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Teri jhalak ke kurban teri chamak pe kurban

Aaye shamme Mustafai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Har samt he ujala aaya wo Noor wala

Raushan hui Khudai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Guncho me phool mahke shaakho pe murg chahke

Bulbul bhi cheh chahaaye Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Mahe Rabiul awwal teri barwi he afzal

Shakle nigar laai Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar ka wo aana wo buto ka sar jhukana

Kabze me kul Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Larza tha kasre kisra Kaba bhi jhuk gaya tha

Muzda diya sunayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hum to bhatak chuke the jurmo se thak chuke the

Hume rahe Haq dikhayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sarkar phir bulalo Gumbad hume dikhado

Tadpaati he judayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sab jehel ko mitaya Haq ka alam uthaaya

Farmaaee rehnumaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad pe keu na jhumey raaho ko unki chumey

Shah ki sawari aaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Najjaar khush the sare aaye Nabi humare

Bachcho ne daf bajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Unpar Durood padhkar unpar Salam padhkar

Kahti he ye Khudayi Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aamad ki Dhoom daalo ghar koocha sab sajalo

Takdeer jagmagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Girte huwo ko muzda unka wo pehla sajda

Ummat hai bakhshwaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Aye mufliso gadaao aao sada lagaao

Sab ne muraad paaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Tu ne naseeb uncha paaya hai aye haleema

Tu he Nabi ki di Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

shaitaan jal rahe hai Aashiq machal rahe hai

Hum ne khushi manaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Hui sard nare Iran hua kufr saara haira

Shamme ahad jalaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Milaad ki ye shab hai hum sab pe fazle Rab hai

Mehfil jo hai sajaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Phir aayi Eid dedo eidee me deed dedo

Bas lau yahi lagaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah

Sayyed Milega sadqa Meelad e Mustafa ka

Kar zikr e Mustafaaee Eido ki Eid aayi

Marhaba Marhaba Ya Rasoolallah

Marhaba Marhaba Ya Habiballah


Related Content

  1. Har Nazar Kamp Uthegi Mehshar Ke Din   Naat Lyrics
  2. Phir Ke Gali Gali Tabah  Naat Lyrics
  3. Mujhe Dar Pay Phir Bulana  Naat Lyrics
  4. BIGRI BANAA-O MAKKI MADANI
  5. Ae Dil Bata Kaisa Laga Mera Raza Mera Raza
  6. Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics
  7. Tere Paak Naam Pe Aye Khuda Hamd Lyrics
  8. Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
  9. Dekhte Kya Ho Ahle Safa
  10. Al Madad Al Madad Al Madad Ya Khuda  Naat Lyrics
  11. Noor Wala Aya Hai
  12. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  13. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  14. Nabi Ke Ishq Ne, Jis Ko Hasin Banaaya Hai
  15. Nabi Ki Naat Me Padh Lun To Koi Baat Nahi
  16. Tajallia Ey Noor Fidam Ghaus E Azam  Naat Lyrics
  17. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  18. Lab Pe Naat Paak Ka Naghma Kal Bhi Ta
  19. Milad Ka Mausam Aaya Hai  Naat Lyrics
  20. Milaad Hai Milaad Hai Sarkaar Ka Milaad Hai  Naat Lyrics

Leave a comment