Gunahon Ki Adat Churah Meray Mowla  Naat Lyrics

Gunahon ki adat churah meray Mowla,

mujhay naik insaan bana meray Mowla

Meri saabiqa har khatha meray Mowla,
thu Rehmath sey apni mita meray Mowla

Thu qudrath say apni badal naikyon sey,
har ik meri laghzish khata meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
Jo Thuj ko jo Teray Nabi ko pasand hai,

mujhay aisa bandhah bana meray Mowla
Thu Masjood mera mey saajid hu Tera,

Thu Malik mey bandha Tera meray Mowla
Thu Matloob mera mey talib hu Tera,

mujhay deyday apni wila meray Mowla
mujhay naik insaan bana meray Mowla

Thu leyga agar adal sey kaam apnay,
mey hun mustahik naar ka meray Mowla

Thujay waastha Teri Rahmat ka Ya Rabb,
jahannam sey mujh ko bacha meray Mowla

Jo Rahmath Teri Shah miley haal ho tho,
tikana hey jannath mera meray Mowla

mujhay naik insaan bana meray Mowla
meri tha qiyamat jo nasley ho Ya Rabb,

ho sab aashiq-e-Mustafah meray Mowla
mujhay bhi dikhaday Thu jalwa Nabi ka

yahi hai meri iltijah meray Mowla
jinon ney kaha hai duaon ka mujh sey,

Thu kar dey sabhi ka bhala meray Mowla
rula Thu mujhay bas gham-e-Mustafa mey,

na duniya keh gham mey rula meray Mowla
na mohtaaj kar Thu jahan mey kisi ka,

mujhay muflisi sey bacha meray Mowla
hai Ka’bay pay nazray Obaiday Raza ki,

ho maqbool har ik dua meray Mowla


Related Content

  1. Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah
  2. Aaj Muhammad aye moray ghar
  3. Uchiyan Uchiyan Shaana 
  4. AA GAYE MAIDAN MAIN WAFADAR E SAHABA
  5. Mashgala Aisa Batao Ke Zara  Naat Lyrics
  6. Un Ki Nazar Mein
  7. Aamad E Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman
  8. Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne
  9. Meri Darkan Mey Ya Nabi Meri Sanson Mey Ya Nabi (Naat Lyrics)
  10. Tu Shamm-e- Risalat Hai
  11. Qasidah Burdah Sharif- Qasidah Burdah Sharif Lyrics
  12. MEHBOOB DA MELA AE
  13. Abr e Karam Gesoo E Muhammad
  14. Khairat Lene Aagaye Mangte Tumhare Khwaja  Naat Lyrics
  15. Gar Talab Sey Kuch Masewa Chahey
  16. Eidon Ki Hai Eid Aayi
  17. Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Naat Lyrics
  18. Dushman-E Ahmad Pe Shiddat Kijiye  Naat Lyrics
  19. Tu Kareen hi Jo Thehra Tu Karam Ke Kiya Thikane (Naat Lyrics)
  20. Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Leave a comment