Sar Ta Ba-qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool  Naat Lyrics

Sar Ta Ba-Qadam Hai Tan E Sultane Zaman Phool

Lab Phool, Dahan Phool, Zakan Phool, Badan Phool

Sadqe Me Tere Baagh To Kya Laye Hai Ban Phool

Iss Guncha E Dil Ko Bhi To Imaa Ho Ki Ban Phool

Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahi Hilta

Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Kohe Mehan Phool

WALLAH Jo Mil Jaye Mere Ghul Ka Paseena

Maange Na Kabhi Itr Na Fir Chahe Dulhan Phool

Dil-Basta Wa Khu-Gashta Na Khusbu Na Latafat

Kyo Guncha Kahu Hai Mere AAQA Ka Dehan Phool

Shab Yaad Thi Kin Daanto Ki Shabnam Ki Dam E Subh(A)

Shokhane Bahari Ke Jada-U Hai Kiran Phool

Dandaan O Lab O Zulf O Rukhe Shah Ke Fidayi

Hai Durre Adan La’ale Yaman Mushke Khotan Phool

Bu Hoke Nahi Ho Gaye Taabe Rukhe Shah Me

Lo Ban Gaye Hai Ab To Haseeno Ka Dahan Phool

Ho Baare Gunah Se Na Khazil Doshe Azeeza(N)

Lillah Meri Na’ash Kar Aaye Jane Chaman Phool

Dil Apna Bhi Shaidayi Hai Us Naakhun E Paa Ka

Itna Bhi Mahe Nou Pe Na Ay Charkhe Kuhan Phool

Dil Khol Ke Khu Ro Le Game Aarize Shah Me

Nikle To Kahi Hasrat E Khu-Naaba Shudan Phool

Kya Gaaza Mala Garde Madeena Ka Jo Hai Aaj

Nikhre Hue Joban Me Qiyamat Ki Phaban Phool

Garmi Ye Qiyamat Hai Ki Kaante Hai Zabaa(N) Par

Bulbul Ko Bhi Ay Saaqi E Sahba Wa Laban Phool

Hai Kaun Ki Girya Kare Ya Faatiha Ko Aaye

Bekas Ke Uthaye Teri Rehmat Ke Bharan Phool

Dil Ghum Tujhe Ghere Hai Khuda Tujhko Wo Chamkaye

Suraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool

Kya Baat Raza Us Chamanistaan E Karam Ki

Zahra Hai Kali Jisme Husain Aur Hasan Phool


Related Content

  1. Bigri Bana-O Makki Madani, Bigri Bana-O Makki Madani
  2. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  3. Baabe Haram Khula Hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
  4. Aey Mere Mola Mola Mola
  5. Mai Toh Miladi Hu  Naat Lyrics
  6. Sirf Ek Baar  Naat Lyrics
  7. Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
  8. Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Naat Lyrics
  9. Aagae Mustafa Ki Sawaari
  10. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  11. Noor Ki Barsat Ka Alam Nirala Ho Gya (Naat Lyrics)
  12. Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain  Naat Lyrics
  13. Muhammad Nabina   Naat Lyrics
  14. Fat’he Baabe Nubuwwat Pe Bayhad Durood
  15. Mera Dil Aur Meri Jaan Madine Waale (Naat Lyrics)
  16. Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo
  17. Rehmat Baras Rehi Hai
  18. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  19. Tadap Raha Hu Madine Ki Haazri Ke Liye  Naat Lyrics
  20. Khairul Bashar Par Lakho Salam  Naat Lyrics

Leave a comment