Ay Mustafa (S.A.W) Ke Fool Dilonjaan Ya Hussain
Kijye Na Is Bala Ko Karbala Mere Hussain
Dono Sahabzadon Ke Tan Hathon Me Le Kar
Kya Dii Misal E Sabr Hai Duniyan Ko Ya Hussain
Un Lakhon Ki Lashkar Dushmanon Ke Samne
Parda Na Choota Aapke Beti Ka Ya Hussain
Abbas Le Ke Nikle The Pani Furad Se
Ghode Se Gir Ke Pani Hua Khoon Ya Hussain
Pyase Tere Jawanon Pe Lakhon Salam Hain
Qurbaan Ho Ke Deen Pe Islam Dediya
Kya Shaan Se Nibhaya Hai Wada Huzoor Ka
Shabbir Haq Ka Sham’a Bachaya Hai Aapne
Batil Ko Mitaya Kiya Roshan Deen Ko
Sham’a Ko Roshan Aapne Khoon Se Kia Hussain
Sajde Me Sar Ko Rakha Asr Ko Ada Kia
Sar Hogaya Phir Tan Se Juda Aapka Hussain
Dard E Dile Hussain Pe Lakhon Salaam Hain
Jisne Diya Hai Sabr Ka Paigham Ya Hussain
Na Kartu Apni Jaan Per Sitam Ay Nasir Zara
Sonch Karbala Mein Hue Qur Baan Mere Hussain
Ay Mustafa Ke Phool Dilon Jaan Ya Hussain
Related Content
- Allah Nabi Da Naam Layye Allah Nabi Da
- Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
- Jashn Aamade Rasool
- Do jag de wich hoye ujaale,
- Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
- Wah Kya Joodo Karam Tazmeen
- Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
- Maqbool Dua Karna Manzoor Sana Karna Naat Lyrics
- Karam Karte Hi Rehate Ho Naat Lyrics
- Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Naat Lyrics
- Muhmmad Ruhi Fidaka Naat Lyrics
- Koi Aaye Koi Jaaye Naat Lyrics
- Aaka Ko Pukar Bande Aaka Pukar
- Salle Ala Nabiyena. Salle Ala Muhammadin
- Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
- Apni Lagan Laga De
- Khak Muj Me Kamal Rakhkha Hai Naat Lyrics
- Farishtay Jis Kay Zaa’ir Hain Madinay Main Woh Turbat Hay Naat Lyrics
- Main Bhi Roze Rakhunga Lyrics
- Dil Madina Mera Bana Aaqa