Na Chedo Zirk E Jannat  Naat Lyrics

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai
Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai


Related Content

  1. Kabe Pe Pari Jab Pehli Nazar  Naat Lyrics
  2. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  3. Baykhud kayay daitay hein andaz hajabana
  4. Hamaray Maula Hamaray Aaqa Imam-e-Azam Abu Hanifa
  5. Mujhe Do Bheekh Ulfat Ki Madine Main Chala Aaun
  6. Pare Pare Pe Likhkha Hai Aaka Ka Naam  Naat Lyrics
  7. Gham Hogaye Be Shumar Aaqa  Naat Lyrics
  8. Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat  Naat Lyrics
  9. Sultane Jahan Mehboobe Khuda Teri Shaano Shaukat Kya Kehna  Naat Lyrics
  10. Woh Rasool Mera Rasool Hai (Naat Lyrics)
  11. Ya Rasool Allah Ya Habeeb Allah (Naat Lyrics)
  12. Mainto Panjatan Ka Gulam Hu  Naat Lyrics
  13. Maqsad E Aalam E Hayaat E Nabi
  14. ALIF ALLAH CHAMBAY DE BOOTI
  15. Kharab Hal Kiya Dil Ko Pur Malal Kiya  Naat Lyrics
  16. Madina Sadi Jaan Hai Lyrics
  17. Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chor Kar  Naat Lyrics
  18. Ban Ja Toon Vi Yaar Madine Wale Da Lyrics
  19. Har Waqt Tasaw’wur Mein Madine Ki Gali Ho  Naat Lyrics
  20. REHAM KARO YA SHAH-E-DO AALAM

Leave a comment